Quantcast
Channel: Sehat doctor
Viewing all 267 articles
Browse latest View live

एसिडिटी दूर करने की दवा और आसान उपाय – Desi Nuskhe for Acidity

$
0
0

Acidity ki dawa baba ramdev in hindi: Pet me tejab banana, gas hona, gale aur seene me jalan hona, pet fulna aur ji ghabrana acidity hone ke kuch lakshan hai. Pet me acid jada banne se seene (chest) me jalan badhne lagti hai aur hyper acidity ban jati hai. Kuch log pet me tejab ka ilaj ke liye medicine lete hai par aap bina dawa ke desi ilaj aur gharelu upchar se acidity problem ka solution aasani tarike se ghar par hi kar sakte hai. Treatment me nuskhe karne ke sath sath khane pine mein badlav karna bhi jaruri hai. Aaj is lekh me hum janenge home remedies and patanjali ayurvedic medicine for acidity in hindi.

Hyper acidity kyu hoti hai agar iski sahi jankari ho to samay rehte hi isse bachne ke upay kiye ja sakte hai. Hamare pet me acid banta hai jo khane ko digest karne me mdad karta hai. Jab ye acid kafi jada banne lage to hyper acidity ki problem hone lagti hai.

Acidity ki dawa baba ramdev, एसिडिटी की दवा बाबा रामदेव पतंजलि

 

Pet Me Acid Banne Ka Karan : Causes of Hyper Acidity

  • Acidity ka karan aur nivaran me sab se pahla hai ghar ka khana chod kar bahar fast food jada khana.
  • Har roj jada tala khatta aur mirch masaledar khana.
  • Jada chai, coffee, cold drinks aur jada sharab pina.
  • Pregnancy me acidity bahut si pregnant womens ko ho jati hai.
  • Bina doctor ki salah ke baat baat pe dawa ka sevan karna.
  • Bhukh se jada khana aur sidhe bed par let jane se bhi acidity ka rog hota hai.
  • Smoking jada karne se bhi hyper acidity ki samasya hoti hai.

 

Hyper Acidity Ke Lakshan : Symptoms

Acidity ke lakshan khana khane ke kuch samay baad dikhte hai jab khana digest ho jata hai aur pet me tejab reh jata hai.

  1. Bechani hona, ji ghabrana aur ulti aana ka man karna.
  2. Pet gale aur seene me jalan mehsus hona.
  3. Gas, kabj aur pachan se judi samasya hona.
  4. Khane ke baad khati dakar aana.
  5. Kuch bhi khane ka man na karna.

 

Acidity Ki Dawa Baba Ramdev Ke Nuskhe

Patanjali Ayurvedic Medicine For Acidity in Hindi

Acidity ki shuruat hai to bina dawa ke thik ki ja sakti hai. Aajkal bajar me aesi bahut se dawa aati hai jo pet me tejab ki samasya ko dur karne me mdad karti hai par ye acidity ka permanent ilaj nahi kar pati. Agar aap acidity se chutkara pana chahte hai to ayurvedic dawa le sakte hai aur gharelu nuskhe bhi apna sakte hai. Aaiye jane baba ramdev ayurvedic medicine for acidiity in hindi.

 

1. Acidity ki Dawa Patanjali in Hindi

  1. Divya Mukta Sukti Bhasm
  2. Patanjali Divya Moti Pishti
  3. Divya Avipattikara Churna Patanjali

 

2. Acidity ka ilaj Baba Ramdev ke Nuskhe

1. Pet me gas aur acidity se bachne ke liye khana khane ke baad saunf khana chahiiye. Iske ilava saunf wali chai pine se bhi acidity me rahat milti hai.

2. Pet me tejab ka ilaj karne ke liye jeera ramban dawa hai. Kitni bhi bhayankar acidity ho aadhe se ek chammach jerra kacha chba chba kar khana chahiiye aur 10 minute ke baad gunguna paani piye.

3. Ilaychi pet ke digestion ko thik rakhne me upyogi hai. Jab bhi seene me jalan aur acidity ke lakshan dikhe 2 ilaychi kha le. Paani me ilaychi ubaal kar paani pine se bhi rahat milti hai.

4. Acidity ka gharelu upchar in hindi me thanda doodh pine se turant aaram milta hai. Doodh pet me acid nhi banne deta. Acidity se jaldi aaram pane ka ye sabse acha upay hai.

5. Bahut jada tejab banne par tulsi ke patte chba kar khaye ya inhe paani me ubaal kar iska paani piye. Acidity thik karne me is upay se jaldi rahat milti hai.

6. Acidity ke desi nuskhe karne ke liye khana khane se pahle aloe vera juice piye aur ahar acidity ki samasya jada hai to khana khane ke aadhe ghante baad aloe vera ka juice piye. Is upchar se acidity ka permanent ilaj kiya ja sakta hai.

7. Acidity dur karne ke liye yoga karne se bhi fayda milta hai. Kapalbhati pranayam aur bhastrika pranayam har roj karne se acidity ka rog kabhi nhi hota.

 

Hyper Acidity Hone Par Kya Karna Chahiye

  • Pet me tejab ki samasya jada ho to jada khana khane se bache. Kai bar hum pet bhar jane ke baad bhi khate rehte hai jo acidity ka karan banta hai.
  • Bhojan karne ke baad thodi der walk karni chahiye isse khane ko digest karne me mdad milti hai.
  • Hyper acidity problem jada hone par smoking karne aur sharab pine se parhej kare.
  • Tala aur mirch masaledar fast food pet me digest hone me jada samay lete hai aur inse tezaab bhi jada banta hai isliye aese food khane se bache.
  • Apne aahar me khatti chijo ke sevan se dur rahe. Khatti chijo me acid hota hai jisse pet me tejab banne lagta hai.
  • Breakfast lunch aur dinner karne ka time fix kare aur har roj usi samay par khaye.
  • Khana dhire dhire aur chba chba kar khaye. Jaldi jaldi khana nigalne se ise digest karne ke liye pet me tezab jada banta hai.
  • Tension jada lene se bhi acidity ki problem hoti hai. Meditation aur yoga se aap tension kam karne ke upay kar sakte hai.
  • Khana khate waqt sath me cold drink pine se bhi acidity badhti hai. Aahar lete samay kuch bhi liquid lene se bache.
  • Jada der khali pet rehne se bhi acidity ki samasya hoti hai. Isliye har 3 se 4 ghante me kuch na kuch khate rahe.
  • Pregnancy me seene me jalan aur acidity ka rog hone par upar bataye hue tarike apnaye.

 

Acidity Me Kya Nahi Khana Chahiye : Parhej

Acidity ke rog me khane ki kuch chije aesi hai jinke sevan se pareshani aur badh sakti hai isliye is baat ki jankari hona jaruri hai ki acidity me kya khana chahiye aur kya khane se parhej karna chahiye.

  • Cold drink, sharab, chocolate, jada mirch masale wale food, tala hua khana, tamatar ki sauce.
  • Pudi, paranthe, pakode, naan, samosa, kachori, pizza, burger, chai, coffee.
  • Falo me khatte fal na khaye.

 

Pet Me Tejab Aur Jalan Hone Par Kya Khaye

  • Pet me acid ko control karne ke liye paani jada matra me piye.
  • Acidity ki wajah se pet aur gale me jalan jada rehti hai to kela khane se aaram milta hai. Kela me tezab se ladne me sabse jada takat hoti hai.
  • Pet me tejab banne se hone wali pareshaniyo ko dur karne ke liye lehsun ka sevan karna acha upay hai.
  • Jada masaledar ya heavy khana kha liya hai to chaach me kali mirch powder aur bhuna hua jeera daal kar piye. Is upay se pet me tejab nahi banega.
  • Nariyal paani body me acid ke asar se pet ko bachata hai.
  • Dadi maa ke nuskhe for acidity, khana khane ke baad gud jarur khana chahiye isse pachan tantar me sudhar hota hai.
  • Hyper acidity se bachav ke liye adarak ka pryog bhi kar sakte hai.
  • Laung ke sevan se bhi acidity dur hoti hai. Jab bhi acidity ho 2-3 laung khaye.

 

Dosto Acidity ki dawa baba ramdev, Patanjali ayurvedic medicine for acidity in hindi ka ye lekh kaisa lga hame bataye aur agar aap ke pass pet me tejab ka desi ilaj aur seene me jalan ka upchar ke gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.

The post एसिडिटी दूर करने की दवा और आसान उपाय – Desi Nuskhe for Acidity appeared first on Kya Kyu Kaise.


अश्वगंधा के 10 फायदे और नुकसान : Ashwagandha Benefits in Hindi

$
0
0

Ashwagandha powder benefits in hindi: Ayurvedic tarike se ilaj me ashwagandha ek aesi ramban dawa hai jo kai rog dur karne me li jati hai. Ise Indian ginseng ke naam se bhi jante hai jo height badhane, weight loss karne, skin, hair, vajan badhane, body banane, diabetes, blood pressure, gathiya, cancer jese rogo ke upchar me upyogi hai. Ashwagandha churna (powder) aur capsule dono me milta hai jise aap patanjali ya pansari se le sakte hai. Aaj is lekh me hum ashwagandha ke fayde nuksan aur ashwagandha ke gharelu upay aur nuskhe ke bare me janege, ashwagandha powder capsules benefits and side effects in hindi for men and women.

Fayde aur nuksan ke sath sath ashwagandha kya kaam aati hai aur ise kaise le iske bare me bhi hum janege. Agar aap kisi rog se pidit hai aur is dawa ka sevan karna chahte hai to kisi ayurvedic chikitsak ki salah se ise lene ki sahi matra aur sahi tarike ke bare me vistar se jane.

Ashwagandha ke fayde or nuksan, अश्वगंधा के फायदे और नुकसान

 

Ashwagandha ke Fayde or Nuksan

Ashwagandha Benefits and Side Effects in Hindi

Ye ek parkar ka podha hota hai jis se anek ayurvedic dawaiya banai jati hai. Iske podhe se powder aur capsule bana kar pryog me laye jate hai. Aaiye jane ashwagandha ke gharelu upay aur nuskhe se rogo ka ilaj kaise kare.

 

1. Ashwagandha Benefits for Diabetes

Ashwagandha body me blood sugar level kam karne me asardar hai jisse diabetes control me rehti hai. Ashwagandha churna ke sevan se cholesterol bhi kam hota hai.

 

2. Neend Naa Aana

  • Jo log anidra se pareshan hai aur jinhe gehri neend nahi aati unke liye ashwagandha ek utam dawa hai.

 

3. Ashwagandha Powder Benefits for Women

  • Safed paani (liloria) ke rog ki wajah se mahila ke sharir me kamjori aane lagti hai aur prajnan shamta bhi kam hone lagti hai. Ashwgandha ke niymit sevan se is bimari me bahut aaram milta hai.

 

4. Ashwagandha Powder Benefits for Men

  1. Iske sevan se prajnana shamta badhti hai.
  2. Sperm count badhte hai aur virya bhi achi matra me banta hai.
  3. Sharirik thakan aur kamjoti dur hoti hai aur sharir me josh aata hai.
  4. Sharir ki rog pratirodhak shmta badhti hai.

 

5. Aankho Ke Liye Ashwagandha

  • Aawla, mulethi aur ashwgandha ko brabar matra me mila le. Is powder ka 1 chammach har roj lene se aankho ki roshni badhne lagti hai.

 

6. Ashwagandha for High Blood Pressure

  • Iske sevan se body me blood pressure me kami aati hai. High bp ke liye ye achi dawa hai.
  • High bp ke rogi ko ashwagandha churna doodh ke sath sevan karna chahiye. Is upay se blood pressure normal ho jayega. Iske sevan se tanav bhi kam hota hai.Low bp ke rogi iska sevan naa kare.

 

7. Fode Funsi Ka ilaj

  • Aswagandha ke patto me fode aur funsi thik karne ke gun hote hai.
  • Sharir par kahi bhi fode, funsi, jakham ya koi ghav ho jaye to iske patte pees kar ghaav par lagaye.

 

8. Tension Dur Kare

  • Tension aur depression jese rogo ke ilaj me bhi ashwagandha ke sevan se fayda milta hai. Dimag ki kamjori dur karne me bhi ye ayurvedic dawa behad asardar hai.

 

9. T.B Ka Rog Thik Kare

  • T.B ki bimari me ye ayurvedic dawai kafi faydemand hai. Iske pryog se body me iron ki matra badhti hai.
  • Saans se judi samasya dur karne ke liye ashwgandha shahad aur ghee ke sath sevan kare.
  • Khasi dur karne me bhi is dawa se aaram milta hai.

 

10. Ashwagandha Se Height  Badhane Ke Tarike

  1. Ashwagandha se height badhti hai kya, agar aap ka bhi yahi sawal hai to jawab hai haa. Ashwagandha lambai bdhane ki ramban ayurvedic dawa hai.
  2. 1 chammach ashwagandha churna ko 1 glass doodh me mila kar isme thoda gud ya chini mila le aur iska sevan kare.
  3. Is upay ko 40 se 45 din niyamit roop se karne par height growth me mdad milti hai.

 

Ashwagandha Benefits in Hindi

Upar bataye gye rogo ke ilava kuch aur bhi rog hai jinke upchar me ashwagandha ramban dawa ka kaam karti hai.

  1. Weight loss
  2. Cancer
  3. Body banana
  4. Cough, khansi, asthma
  5. Gathiya
  6. Vajan badhane
  7. Skin ke liye
  8. Hairs ke liye
  9. Liver ke rog
  10. Body immunity badhane

 

Ashwagandha Ke Nuksan : Ashwagandha Side Effects in Hindi

Ayurvedic dawa se nuksan naa ke brabar hi hote hai par jab in dawao ko sahi tarike se naa liya jaye aur jada matra me iska sevan kare to nuksan bhi ho sakta hai. Aaiye jane side effects of ashwagandha in hindi.

1. Ashwagandha ka jada sevan karne se sharir me kai badlav aane lagte hai. Body ka temperature badhne lagta hai aur bukhar aane lagta hai. Agar aap ko ye samasya ho to is dawa ka sevan band kare aur agar pareshani badhne lge to doctor se mile.

2. Lambe samay tak is desi dawa ke sevan karne se dusri medicine sharir par asar nahi kar paati, aese me dusre rog ke ilaj me li jane wali dawai se bhi laabh nahi milta.

3. Diabetes, blood pressure aur gathiya jese rogo se bachne aur ilaj ke liye agar aap ashwgandha powder ka sevan karte hai to dhayan rahe is dawa ka sevan jada matra  me naa  kare.

4. Neend naa aane ki samasya dur karne me ye dawa kafi upyogi hai par jab is dawa ka sevan jada hone lagta hai tab jada neend aana ya neend naa aana jesi problem aane lagti hai jo sehat ko nuksan karti hai.

5. Pet ke liye ye dawa kaafi faydemand hai par iska jada sevan karne se ye fayda karne ki bajay nuksan bhi kar sakti hai. Jese ki pet me gas banna, dast lagna aur ulti aana.

 

Ashwagandha Ka Sevan Kaise Kare

Ashwagandha kya kaam karta hai aur is se kya labh hota hai ye aap ne jaan liya ab jante hai is dawa ko lene ka sahi tarika kya hai.

  • Ahwagandha kaise le ye sab se pahle is baat par nirbhar karta hai ki aap kis rog ke ilaj ke liye iska sevan kar rahe hai aur aap ki umar kya hai. Bachho ke liye iski matra bado ke mukable kam hoti hai.
  • Achi sehat ke liye is dawa ki 2 se 5 gram ki matra tak har roj le sakte hai. 100 gram ashwagandha aur 100 graam mishri mila kar rakh le aur iska 1 chammach raat ko sone se pahle doodh ke sath le.
  • Agar kisi rog ke upchar ke liye aap ashwagandha ka sevan karna chahte hai to ise lene ka sahi tarika rog se jude lekh me jane.
  • Ashawagandha powder aur capsule dono me milta hai jo aap pansari ya baba ramdev patanjali ke store se le sakte hai.
  • Agar aap kisi rog ke upchar ke liye koi medicine ya desi dawa le rahe hai to ashwagandhan ka sevan karne se pahle doctor ya ayurvedic chikitsak se salah jarur le.
  • Gas ki samasya, alsar aur pregnancy ke dauran ashwagandha powder aur capsules ka sevan nahi karna chahiye.

 

Dosto Ashwagandha ke fayde or nuksan, Ashwagandha benefits and side effects in hindi ka ye lekh kaisa lga hame bataye aur agar aapke pass gharelu upay, nuskhe aur patanjali ashwagandha (churna) powder capsules ke fayde kya hai se jude anubhav hai to hamare sath share kare.

The post अश्वगंधा के 10 फायदे और नुकसान : Ashwagandha Benefits in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.

कमर पतली करने के उपाय और घरेलू नुस्खे : Kamar Kam Kaise Kare

$
0
0

Kamar patli karne ke upay aur tarike in hindi: Ladka ho ya ladki har koi sundar dikhna chahta hai jiske liye body fitness sab se jaruri hai par aajkal hamare khane pane ke galat tarike ke karan pet aur kamar ke aas pass charbi jama hone lagti hai jisse motapa aur vajan badhna jesi samasya aati hai. Kuch log apne pet aur kamar ki charbi kam karne ke liye apni diet kam kar dete hai. Sahik tarike se kamar ko patla karne ke upay me sahi diet ke sath sath regular exercise karna bhi jaruri hai. Aaj is lekh me hum janenge patli kamar pane aur duble patle hone ke liye kya karna chahiye, how to get slim waist and belly fat weight loss tips in hindi.

Pet aur kamar ke aas pass fat badhne ka asar gardan, face, haatho aur jangho par bhi padta hai. Mota hone ki wajah se kuch log apne aap ko dusro se alag kar lete hai. Acha figure pane aur patli kamar pane ke liye gharelu nuskhe aur upay bhi kafi faydemand hai par inhe niyamit roop se aur sahi tarike se karna jaruri hai.

कमर पतली करने के उपाय, Kamar patli karne ke upay in hindi

 

Pet aur Kamar ki Charbi Badhne Ke Karan

  • Balanced diet naa lena, unhealthy daily routine,  puri neend naa lena, jada tala hua aur masaledar aahar ke sevan se pet aur kamar ke aas pass charbi badh jati hai.
  • Physical activity naa hona aur exercise naa karna bhi sharir me motapa badhne ka ek karan hai.

 

Kamar Patli Karne Ke Upay Aur Gharelu Tarike

Tips to Get Slim Waist in Hindi

1. Kamar aur pet kam karne ke liye har roj subh gungune paani ke sath shahad ka sevan kare. Shahad ke sath aap pani me nimbu ka ras bhi mila sakte hai.

2. Ajwaine ka paani pet aur kamar ki charbi ghatane me upyogi hai. Rojana raat ko sone se pahle 1 gilass ajwaine ka paani piye, is gharelu upay se motapa dur hone lagega.

3. Hafte mein 1 din varat rakhe. Agar varat nhi rakh sakte to hafte me ek din sirf liquid diet follow kare jisme nimbu paani, juice, soup, doodh, fruit juice pi sakte hai.

4. Doodh wali chai pine ki bajay green tea, black tea, lemon tea pine ki aadat dale, inme antioxidents adhik hote hai jo motapa badhne ki sambhavna ko kam karta hai.

5. Apne bhojan ke sath tamatar aur pyaaj ka salad khaye. Salad me thodi kali mirch bhi dale. Isse aapko vitamin A, K C, potassium aur iron milenge.

6. Motapa kam karne ke upay karne ke baad bhi farak nahi pad rha to apne bhojan mein kati hui hari mirch ya fir kaali mirch shamil kare, isse weight ko control karne me mdad milti hai.

7. Ghar par roti banane ke liye istemal hone wale normal aate ki bani roti khane ki bajay chane aur jo ke aate ko mila kar roti khane se slim ho sakenge.

 

Pet Aur Kamar Kam Karne Ke Liye Kya Khaye

  • Hari sabjiya sharir me jama charbi ko khatam karne me madad karti hai. Hari sabjiyo me aese bahut se poshak tatv hote hai jo motapa control karte hai.
  • Kamar aur pet ko patla karna hai to aahar lene se pahle fal khaye. Khali pet fruits khane se pachan shakti badhti hai jisse khana pachane me mdad milti hai.
  • Har roj papita khane se pet aur kamar ke pass jama hua extra fat kam hone lagta hai.
  • Paani jada pine se sharir mein jama gandagi bahar nikal jati hai jisse body detox hoti hai aur body me fat jama nhi hota.
  • Kuch log kamar ko patla karne ke liye breakfast karna tak chod dete hai. Aesa karna galat hai isse vajan kam karne me fayda nhi nuksan ho sakta hai. Subah ka nashta nahi chodna chahiye.

 

Kamar Patli Karne Ki Exercise Aur Yoga

  1. Kamar patli karne ke liye exercise me rassa kudna, cycle chalana, jogging, dancing, ball balancing kuch aesi exercise hai jo kafi faydemand hai.
  2. Har roj morning aur evening walk par jana aur khane ke baad bistar par jane se pahle thodi der walk karna kuch aesi choti choti exercise hai jo kamar aur pet ki badhi hui charbi ko ghatane aur calorie burn karne me mdad karti hai.
  3. Kamar kam karne ke yoga aasan bhi kar sakte hai, isse aap slim ho sakte hai aur rogo se bhi bache rahenge. Yoga aasan me surya namaskar, bhujangasana, padmasana, sarvangasana, vajrasana.

 

Kamar Ki Charbi Kam Karne Ke Tips

  • Bharpur neend le.
  • Jarurat se jada khane se bache.
  • Junk food aur tala hua khana khane se parhej karna chahiye.
  • Slim hona hai to jada namak aur meethe ka sevan naa kare.
  • Din me dahi ya fir lassi ka sevan jarur kare.
  • Thanda paani pine ki bajay gunguna paani piye.
  • Khana khate samay aur turant baad me paani nahi pina chahiye.

 

Dosto Kamar patli karne ke upay aur tarike, Duble patle hone ke gharelu nuskhe in hindi ka ye lekh kaisa lga hame bataye aur agar aapke pass pet aur kamar ki charbi kam karne aur patla hone ke upay kaise kare se jude sujhav hai to hamar sath share kare.

The post कमर पतली करने के उपाय और घरेलू नुस्खे : Kamar Kam Kaise Kare appeared first on Kya Kyu Kaise.

वजन बढ़ाने और मोटा होने के लिए डाइट – Weight Gain Diet Chart in Hindi

$
0
0

Weight gain diet chart in hindi: Motapa badhana ho ya vajan kam karna ho aasan kuch bhi nahi, par sahi tarike se diet plan ko regular follow kiya jaye to kuch mushkil bhi nhi hai. Male ho ya female mota hone ki diet chart me sabse jaruri hai aese foods khaye jisme high calorie ho aur weight increase karne me mdad mile. Aksar kuch logo ka ek sawal hota hai ki ve vegetarian hai aur non veg foods nahi khate aese mein mota hone ke liye kya karna hoga. Kuch log jaldi vajan badhane ke liye powder, capsule aur tablet name janna chahte hai. Aaj is lekh me hum aapki is pareshani ko kam karne ke liye diet tips aur upay bta rahe hai jisse 1 month me weight badhane me farak dikhne lagega. Aaiye jane vegetarian diet chart for weight gain tips for male and female, tips in hindi.

Bahut se aese boys aur girls hai jo kehte hai ki ve khate pite to bahut hai fir bhi unka sharir dubla aur patla hai unhe kuch bhi khaya piya nhi lagta. Iska ek karan digestion thik naa hona ya fir pet ka koi rog hona ho sakta hai.

Weight gain diet chart in hindi, वजन बढ़ाने के लिए डाइट चार्ट

 

Apna Sahi Weight Jane

  • Wajan jab normal se kam ya jada hota hai tab hum apni lifestyle aur diet me kami nikalte hai par kya ye sach hai. Women me thyroid aur harmons me garbadi ki wajah se bhi motapa jada aur kam hone jesi problem hoti hai.
  • Vajan badhane ke liye diet plan karne se pahle aap ko apne weight kam hone ke karan ki jankari hona jaruri hai aur sath hi apni body ke bare me bhi malum hona chahiye.

 

Jaldi Vajan Badhane Ke Liye Calorie

  • Weight gain karna ho ya fir kam ho, bhojan me li jane wali calorie ka dhyan rakhna sabse jaruri hota hai. Jada calorie matlab jada vajan.
  • Dublapan dur karne aur mota hone ke liye har roj 2500 se 3000 calorie ki jarurat hoti hai.
  • Aapka vajan tabhi badhega jab aap apni jarurat se 500 calorie jada lenge.
  • Jada calorie lene ka matlab ye nahi ki kuch bhi khaye. Healthy aur sahi tarike se weight gain ke liye apne diet chart me protein aur carbohydrates wale foods par jada dhyan dena hoga.

 

Vajan Badhane Ke Liye Diet Tips

Weight Gain Diet Chart in Hindi

Jaldi weight badhane ke liye hum ek diet chart ke bare me bta rahe hai jisme vegetarian aur non veg dono tarah ke foods shamil kiye hai aur breakfast, lunch aur dinner me kya khaye ye bhi janenge. Aap apni body ke anusar is diet plan me kuch changes kar ke ise follow kar sakte hai.

 

1. Weight Gain Breakfast Plan in Hindi

1. Nashta karne se pahle early morning breakfast (subah) me 1 gilass doodh, 2 ande (safed bhag) aur 5 se 6 bhige hue badam khaye. Agar aap ande nhi khate to iski jagah 2 kele kha sakte hai.

2. Breakfast me 1 cup dahi aur 2 paranthe ya fir 2 egg ka omlete aur bread toast khaye ya 2 ubale hue aaloo, 100-150 gram paneer.

3. Nashta karne ke 2 ghante baad mid morning food mein thodi mungfali ya sukha meeva, 1 gilass lassi.

 

2. Lunch Me Kya Khaye

  • 1 cup salad, 1 catori soup, 1 cup daal, 2 roti ghi lagi hui, 1 se 2 catori mix sabji, 1 cup chawal.
  • Daal me 1 se 2 chammach desi ghi milaye.
  • Lunch ke 1 se 2 ghante ke baad 1 gilass doodh, 2 kele, 1 se 2 chammach shahad, 1 chammach alsi, 1 chammach peanut butter aur sawad ke liye thodi chocolate. In sab ko mila kar shake banaye aur piye.

 

3. Evening Time

  • Sham ko chai ya coffee ke sath biscuit le sakte hai.
  • Sham ke baad aur raat ke khane se pahle mid evening me ek mutthi roasted soyabean ya thode badam khaye.

 

4. Mota Hone Ke Liye Dinner Diet Plan

  • Raat ke khane me 1 catori soup, 1 cup chawal, 1 cup daal, 2 roti, 2 catori mix sabji, 1 cup salad.
  • Ya
  • 3 se 4 ubale hue ande (safed bhag) ya 100 gram paneer ya 100 gram chicken/fish aur daal, sabji, chawal roti.
  • Raat ko sone se pahle 1 gilass doodh. Doodh me shahad mila kar pine se vajan teji se badhta hai.

 

Vajan Badhane Ke Liye Aahar : Weight Gain Foods List in Hindi

  1. Vajan badhane wale aahar me protein wale foods khaye jese ki anda, fish, chicken, doodh aur doodh se bani chije, ankurit chane, soya milk, beans, meeva, faliya.
  2. Paneer, makkhan, ghi.
  3. Sabut aanaj, genhu wale biscuit.
  4. Ghi wali roti, oat meal, brown rice, bajare ki roti.
  5. Sukha meeva  (dry fruits) – kishmish, akhroat, bada, kharbue ki giri
  6. Hari sabjiya, faliya, dale, chawal ki kheer.
  7. Fal, falo ka ras, kela, kharbuja, sabjiyo ka soup.
  8. Shahad aur shahad se bani hui chije.

 

Mota Hone Ke Liye Diet Plan Tips in Hindi

  • Vajan badhana hai to subah ka nashta heavy kare aur raat ko dinner halka khaye.
  • 7 days diet chart for weight gain ke liye high protein aur high calorie foods aahar me shamil kare, par aap koi bhi non veg ya vegetarian diet follow kare asli farak 20 din me mehsus hoga. Uske baad har 10 days me aap farak mehsus karenge.
  • Bhukh naa hone par bhi har 2 se 3 ghante me kuch healthy jarur khaye.
  • Motapa badhane ke liye exercise, yoga aur morning – evening walk ko bhi daily routine me shamil kare.
  • Quick weight gain ke liye fast food, burger, pizza se dur rahe, inme calorie jarur jada hoti hai par ye body ko mota nahi bimar banati hai.
  • Thyroid ki wajah se agar kisi mahila ka weight kam hai to use doctor ki salah se hi apna diet chart banana chahiye taki thyroid control me rahe aur vajan bhi badh sake.
  • Pet me gas ya kabj ki shikayat hai to turant iska ilaj kare kyuki jab tak digestion acha nhi hoga tab tak mota hone ki sari koshish bekar hai.

 

Mota Hone Ka Powder Aur Tablet

  • Kuch log mota to hona chahte hai par uske liye ya to mehnat nahi karna chahte ya unke pass koi diet chart follow karne ka time nhi hota. Aese me ve jaldi mota hone ke liye tablet, capsule aur powder name janna chahte hai.
  • Dosto tablet ya powder khane se ho sakta hai ki ek bar aap ka vajan badh jaye par inhe chodne ke baad aap ka vajan fir se kam hone lagta hai aur body dhili padne lagti hai.
  • Kai bar kuch medicine aur supplements ke istemal se side effect bhi ho jate hai. Isliye hum yahi salah denge aap weight gain ke liye natural tarike hi apnaye.
  • Gharelu nuskhe aur ayurvedic dawa jaldi mota hone me behad upyogi hai aap powder ki bajay inka sevan kare to jada behtar hai.

 

Dosto Mota hone ke liye kya khaye, Weight gain diet chart  in hindi (Vegetarian) ka ye lekh kaisa laga hame bataye aur agar aap ke pass 7days, 10 days, 1 month me vajan badhane ke liye tips aur weight increase diet plan for female and male hai to hamare sath share kare.

The post वजन बढ़ाने और मोटा होने के लिए डाइट – Weight Gain Diet Chart in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.

अनचाही प्रेगनेंसी रोकने के आसान उपाय – Pregnancy Rokne Ke Upay

$
0
0

Pregnancy rokne ke upay aur nuskhe hindi me: Shaadi ke baad bahut se log family planning karte hai isliye ve samay se pahle hone wali pregnancy se bachne ke liye kai tarike apnate hai. Kai bar kuch premi jode marriage se pahle pyar me beh kar galti kar baithte hai aur fir ladki ke pregnant hone se bachne+ ke liye upay dhundh te rehte hai. Pregnancy ko rokne ka sabse aasan tarika hai condom ka paryog kare par kai bar kuch galtiyo ke karan garbh teharne ka dar sa rehta hai. Kuch ladkiya pregnant na hone ke upay me tablet aur injection ka sahara leti hai par bina medicine ke gharelu nuskhe se bhi pregnant hone se bachne ka ilaj kiya ja sakta hai. Aaiye jane how to stop pregnancy, tips in hindi.

Kuch mahilao ko pregnancy ka pta deri se chalta hai aur agar 1 se 2 month ka time ho jaye to aese me kai bar tabet lena safe nhi hota, aese me unwanted pregnancy se bachne ke liye doctor ki salah lena kafi fademand ho sakta hai.

प्रेग्नेंसी रोकने के उपाय, Pregnancy rokne ke gharelu upay

 

Pregnancy Rokne Ke Upay Aur Nuskhe

How To Stop Pregnancy in Hindi

Bina kisi tablet ke bhi pregnancy ko roka ja sakta hai, kuch aese gharelu nuskhe aur upay hai jinke pryog se garbhdharan hone se bach sakte hai.

 

1. Neem

1. Pregnant hone se rokne ke liye neem ek dawa ki tarah kaam kari hai. Ye sperm ki gati ko kam kar deti hai jisse garbh teharne ka khatra kam ho jat hai.

2. Neem ki pattiya, oil aur capsule garbh rokne ke liye pryog kiye jate hai. Jinhe pregnant hone ki sambhavna lag rahi ho ve neem ki pattiyo ko chabaye.

3. Neem ka tel pryog karne ke liye ise injection ke dawara mahila ke garbh aur fallopian tube ko jodne wali jagah par daalte hai. Is upay se sabhi shukranu khatam hote hai par ye injection lagwane ke liye doctor se milna jaruri hai.

 

2. Kaccha Papita

  1. Unwanted pregnancy se bachne ke liye papite ka sevan achuk upay hai. Sambandh banane ke baad kaccha papita kha le to garbh teharne ke chances kam ho jate hai.
  2. Papite ka sevan pregnancy ko rokne ke liye kiya jata hai. Prem sambandh ke baad 3-4 din tak papita khaye ya fir papite ka juice piye.

 

3. Adarak

  • Adarak me bleeding start karne ke gun hote hai, ise natural garbh niradhak dawa ke roop me pryog laya ja sakta hai.
  • Adrak ki chai har roj din me 2 bar pine se pregnany ki sambhavna kam hoti hai.

 

4. Hing

Hing paani me mila kar pine se garbh nahi rukta iske sath is upay se ruka hua garbh bhi nikal jata hai.

 

5. Gajar Ke Beej

  • Anchahi pregnancy rokne aur birth control karne me gajar ke beej ka sevan ek acha gharelu upay hai. Aadhe se ek chammach beej raat ko paani me bhigo kar rakhe aur subah inka paste bana kar khaye.

 

6. Sukhi Anjeer

Sukhi anjeer ko pregnany rokne ka ek asardar aur aasan tarika mana jata hai. Pregnant hone se bachne ke liye di me 2 bar 2 se 3 sukhi anjeer khaye. Is upay se blood ka circulation acha ota hai.

 

Pregnancy Rokne Ke Liye Medicine Name

  • Pregnant naa hone ke liye adhiktar mahilaye sabse pahle garbh nirodhak tablet ka sevan karti hai. Garbh nirodhak goli ke sevan se fayda to mil jata hai par lambe samay tak in tablets ke pryog se side effets bhi ho sakte hai.
  • Pregnancy se bachne ke liye unwanted 72 aur i Pill naam ki tablets jada pryog ki jati hi. Aap kisi bhi ek goli ka sevan kar sakte hai.
  • Prem sambandh banane ke baad pregnant hone ki aashanka se bachne ke liye 72 ghante me ek tablet khani hogi.
  • 1 month aur 2 month ki pregnancy rokne ke liye kisi bhi tablet ke sevan se pahle doctor ki salah jarur le.

 

Pregnant hone se bachne ke tips in hindi   

  • Ovulation ke samayme mahilao ki prajnan shamta jada hoti hai, isliye pregnancy se bachna hai to is dauran kabhi bhi sambandh na kare.
  • Periods khatam hone ke baad 5 se 7 din tak garbhdharan karne ka sabse acha samay hota hai, isliye in dino me sharirik mel na kare aur agar karna hai to condom ka paryog jarur kare.

 

Dosto Pregnancy rokne ke upay Aur tablet, Pregnancy stop medicine name in hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame bataye aur agar aapke pass pregnant hone se bachne ke liye tarike, tips aur gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.

The post अनचाही प्रेगनेंसी रोकने के आसान उपाय – Pregnancy Rokne Ke Upay appeared first on Kya Kyu Kaise.

Best 5 Piles Treatment at Home in Hindi –बवासीर का इलाज घरेलू नुस्खे

$
0
0

Piles treatment at home in hindi (पाइल्स ट्रीटमेंट): Piles ko hemorrhoids aur bawaseer ke naam se bhi jante hai, is rog me guda ke pass naso me sujan ho jati hai jisme se blood nikalne lagta hai. Piles starting symptoms me khoon ke halke dhabbe dikhna aur sath hi khujli, dard aur jalan mehsus hona aam hai. Bawasir ke masse khatm karne aur dard dur karne ke liye kuch log kai tarah ki tablet khate hai par bina medicine ke gharelu upchar aur ayurvedic dawa se bhi piles ka ilaj kiya ja sakta hai. Aaj is lekh me hum janenge natural home remedies (gharelu nuskhe), ayurvedic and homeopathy medicine for piles pain treatment in hindi at home for male and female.

Bawaseer 2 parkar ki hoti hai internal aur external. Internal piles me masse guda ke andar ki side hote hai aur toilet karte samay inme tej dard hota hai aur khoon bhi nikalne lagta hai. External piles guda ke bahar ki taraf hote hai jinme khujli aur jalan hoti hai aur masso par khujli karne par inse khoon aane lagta hai. Agar shuruati lakshan pehchan kar jaruri upay kiye jaye to bawasir ko badhne se roka ja sakta hai aur iska jaruri upchar bhi kiya ja sakta hai.

Piles treatment at home in hindi, पाइल्स का इलाज के घरेलू नुस्खे

 

Symptoms of Piles in Hindi (पाइल्स के लक्षण )

  • Bawasir symptoms me starting days me guda ke aas pass dard hona, khujli hona aur jalan hoti hai, iske ilava kuch aur lakshan bhi hai jinse bawaseer ki pehchan ho sakti hai.
  • Guda ke pass andar ya fir bahar ki taraf masse ya ganthe dikhna.
  • Masso se khoon nikalna. Latering karte samay masse se khoon aana iska bada lakshan hai. Problem kam ho to blood thoda nikalta hai.
  • Latering karte waqt jab jor lagate hai tab guda se masse bahar nikal aate hai. Kai bar to ye masse khud hi andar chale jate hai par kai bar inhe hath se andar dhakelna padta hai.
  • Piles ke lakshan me bar bar toilet ke liye jana par toilet karte waqt naa aana bhi hai.

 

Bawaseer Ke Karan (पाइल्स होने के कारण)

  1. Piles hone ka sabse bada karan kabj hai. Kabj hone ki wajah se latering karte waqt jada jor lagana padta hai jisse guda ke pass wali naso par dabav padta hai jisse inme sujan aa jati hai.
  2. Pregnancy ke dauran aksar mahilao ko bawaseer ho jati hai.
  3. Motapa bhi bawasir hone ka ek karan hai.
  4. Jada der bina hile ek hi jagah baith rehne se piles jaldi hoti hai.

 

Piles Treatment At Home in Hindi

पाइल्स का इलाज के घरेलू नुस्खे और उपाय

 

Piles ke symptoms aur causes ki jankari ke baad hum piles ka treatment karne ke liye gharelu nuskhe, ayurvedic upchar baba ramdev patanjali medicine name aur homeopathy dawa ke bare me janenge.

 

Piles Treatment Home Remedies in Hindi (बवासीर टीटमेंट के घरेलू नुस्खे)

1. Piles ka ilaj ke liye nariyal ki jata ramban ka kaam karti hai. Nariyal ki jata ko jala kar raakh bana le aur is rakh ko 3 gram matra me le kar 1 cup dahi ya lassi me mila kar khaye. Din me 3 bar is upay ko karne par hi aap ko piles ki bleeding aur pain me relief milne lagega.

2. Bawasir kesi bhi ho kachi muli khane ya fir iska ras pine se kafi aaram milta hai. Muli ka ras ek bar me 25 se 50 gram tak hi le.

3. Kabj banne aur pet thik se saaf naa hone par isabgol ki bhusi ka sevan kare.

4. Khooni aur baadi bawaseer treatment me anjeer bhi upyogi hai. 2 Sukhe anjeer raat ko sone se pahle paani me bhigo kar rakh de aur subh khaye. 10 se 12 din is home remedey ko karne par har tarike ki piles me aaram milta hai.

5. Badi ilaychi 50 gram le aur tave par bhun kar iska churan bana le. Har roj khali pet subah paani ke sath ye churan lene se piles thik hote hai.

6. Bawaseer ki samasya agar bar bar hoti hai to dopehar ke bhojan ke baad lassi ka sevan kare aur lassi me thodi ajwaine aur sendha namak mila le.

7. Masse ka ilaj karne ke liye arandi ka tel 80 gram garam kar ke isme 10 gram kapur mila kar rakhe. Ab masso ko saaf paani se dho kar ache se saaf kar le aur is tel se masso par halke se malish kare. Din me 2 bar is desi nuskhe ko karne par masse ki sujan, khujli, jalan aur dard se aaram milega.

 

Patanjali Ayurvedic Medicines For Piles in Hindi (बवासीर पतंजलि आयुर्वेदिक मेडिसिन)

  • Bawaseer treatment ke liye baba ramdev yoga ke sath sath ayurvedic nuskhe ke bare me bhi logo ko jankari dete hai. Agar aap ilaj ke liye patanjali ki bawasir medicine lena chahte hai to divya arshkalp vati le.
  • Divya Arshkalp Vati patanjali ki ayurvedic dawa hai, ye dawa din me do bar 1 se 2 tablet pani ya lassi ke sath le.

 

Piles Homeopathy Treatment in Hindi (पाइल्स की दवा होम्योपैथिक ट्रीटमेंट)

Homeopathic medicine bhi piles ke treatment me kafi upyogi hai. Yha hum aap ko bawasir ke ilaj ke liye 5 homeopathic dawa ke name bata rhe hai. Ye naa sirf aapki jankri ke liye hai inhe shuru karne se pahle homeopathy doctor se salah jarur le.

  1. Ratanhia – Piles ke sath pain hone par dawa
  2. Hamamelis – Khooni bawasir ke liye piles medicine
  3. Graphites – Kabj ke sath bawaseer ki homeopathy dawa
  4. Aesculus – Peeth dard ke sath bawasir ke liye medicine name
  5. Nux Vomica – Lambe samay tak baithe rehne se hone wali piles ke liye dawa

 

Piles Ka Treatment Yoga Se Kaise Kare (बवासीर में योग)

  • Achi sehat pane aur rogo ka upchar karne me yoga karne se kafi fayda milta hai, bawasir ke rog me bhi yoga karna acha upay hai.
  • Baba ramdev yoga for piles in hindi me anulom vilom aur kapalbhati pranayam din me 2 bar karna chahiye.

 

Bawasir Me Kya Khana Chahiye (बवासीर में क्या खाना चाहिए और क्या नहीं)

  • Paani adhik piye, lassi aur karele ka ras bhi piles me benefit karta hai.
  • Dahi chawal, mung daal ki khichdi, daliya, desi ghee.
  • Khane ke baad amrud khaye.
  • Falo me kaccha nariyal, kela, papita, aanar, anjeer, aawla khaye.
  • Sabjiyo me chukundar, muli, jimikand, gajar, palak, tamatar.
  • Bawasir me kya nhi khana chahiye me sab se jaruri hai smoking aur sharab se parhej kare.
  • Jada chai aur coffee ka sevan naa kare.
  • Tej mirch aur masaledar khane se bache.

 

Dosto Piles Treatment At Home in Hindi, Bawasir Ke Masse Ka ilaj Gharelu Nuskhe ka ye lekh aap ko kaisa laga hame bataaye aur agar aapke pass piles ka ilaj upchar aur upay ke liye ayurvedic medicine homeopathy treatment se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

The post Best 5 Piles Treatment at Home in Hindi – बवासीर का इलाज घरेलू नुस्खे appeared first on Kya Kyu Kaise.

सेब के सिरके के 10 फायदे और नुकसान – Apple Cider Vinegar Benefits in Hindi

$
0
0

Seb ke sirke ke fayde aur nuksan in hindi: Seb ke sirke ko angreji me apple cider vinegar ke naam se jante hai, isme bahut se jaruri vitamin aur poshak tatav hote hai. Kai rogo ke ilaj ke liye kiye jane wale gharelu nuskhe me seb ka sirka pryog kiya jata hai jese ke weight loss, cholesterol kam karne, diabetes control, chehre ke daag dhabbe aur hair se dandruff hatana. Niyamit roop se iske sevan se pachan shakti acchi hoti hai jisse high blood pressure, gathiya aur pet se jude rog ki samasya se bachne me mdad milti hai. Aaj hum apple sirka ke fayde nuksan upay ke bare me janenge,  apple cider vinegar benefits side effects and home remedies in hindi.

सेब के सिरके के फायदे और नुकसान, Seb ke sirke ke fayde in hindi

 

सेब का सिरका कैसे बनता है – Seb ka sirka recipe in hindi

  • Apple ka sirka vese to bazzar me aasani se mil jata hai par aap ise ghar par bhi bana sakte hai. Aaiye jane seb ka sirka kaise banate hai.
  • Ek bartan ya jaar le kar isme seb ke chote chote tukde daal de aur kuch samay ke liye ise khula hi chod de.
  • Kuch samay ke baad seb ke tukdo ka rang laal ho jayega. Ab jaar me paani bhar de aur use kisi kapde se bandh kar andheri jagah par kuch din ke liye rakh de.
  • Ek mahine baad is paani ko chan kar seb ke tukde nikal de. Ab aap ka seb ka sirka tyar hai.

 

सेब के सिरके के फायदे – Seb ke Sirke ke Fayde in Hindi

Apple sirka ko ek acha anti oxidant mana jata hai. Ye hanikarak free radicals se body ko bachata hai aur body immunity ko badhata hai. Apple cider vinegar me potassium aur calcium hota hai jo haddiyo ke vikas aur haddiya majbut bnane me mdad karte hai.

1. Kabj, pet ki gas aur acidity ki samasya ke samadhan ke liye thoda shahad aur apple ka sirka mila kar piye. Dast dur karne ke liye bhi seb ke sirke ka istemal kar sakte hai. Dast lagne par paani me mila kar piye.

2. Chehre ke daag dhabbe ka ilaj karne aur rang saaf karne ke liye paani me thoda seb ka sirka mila kar isse chehre ko dhoye.

3. Apple cider vinegar for hair in hindi, seb ke sirke se baal dhone par balo ki gandagi nikal jati hai aur baal saaf hote hai. Baal jhadne se rokne aur balo se dandruff hatane ke liye pani me seb ka sirka mila kar balo ki jado me ache se lagaye aur thodi der baad dho le. Jane Balo ke liye ramban upay.

4. Baal silky karne ke liye shampoo karne ke baad 1 gilass pani me 1 chammach seb ke sirke ko mila kar baalo par lagaye.

5. Glowing face ke liye multani mitti me thoda shahad aur seb ka sirka mila kar face pack bana le. Is paste ko 15 minute ke liye chehre par lagaye fir paani se dho le. Is upay se chehra soft aur chamakdar hota hai.

6. Bar bar hichki aa rhi ho to seb ka sirka thode se paani me mila kar piye, hichki aani band ho jayegi.

7. Apple cider vinegar benefits weight loss in hindi, pet ki charbi kam karne aur motapa ghatane me apple sirka kafi upyogi hai. Weight kam karne ke liye raat ke khane ke baad 2 chammach seb ka sirka gungune paani me mila kar piye. Kuch hi dino me aapko farak dikhne lagega.

8. Muh se badboo aati hai to apple cider vinegar se garare kare, is upay se munh aur saans ki badboo dur hoti hai.

9. Seb ke sirke se diabetes control karne me bhi mdad milti hai, ye body me blood sugar level ko kam karta hai. Iske ilava ye cholesterol kam karne me bhi upyogi hai.

10. Sardi jukam dur karne ke liye ek gilass me thodi si adarak pees kar isme shahad aur apple sirka mila le. Ab is ghol ko chaan kar isse garare kare. Is upay se kuch hi der me sardi dur hone lagti hai.

 

सेब के सिरके के नुकसान – Seb ke Sirke ke Nuksan in hindi

  • Kisi bhi cheej ka jarurat se jada istemal karne par fayde ki jagah nuksan bhi ho sakte hai.
  • Agar seb ke sirke ka pryog sidhe skin par kiya jaye to isse khujli aur jalan ki samasya ho sakti hai. Isliye ise skin par sidhe paryog karne ki bajay paani ya shahad me mila kar paryog kare.
  • Apple ka sirka sidhe danto par nahi lagna chahiye isse danto ko nuksan hota hai aur danto ka peelapan bhi badhta hai. Isliye iske sevan ke baad paani se acchi tarah kulla jarur kare.
  • Bajar me kai tarah ke seb ke sirke milte hai islite acchi brand ka hi le. Baba ramdev patanjali ke store se bhi patanjali aaple sirka le sakte hai.

 

Dosto Seb ke sirke ke fayde aur nuksan, apple cider vinegar benefits and side effects in hindi ka ye lekh kaisa laga hame bataye aur agar aapke pass weight loss, hair aur chehre ke liye apple sirka ke fayde upay aur gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.

The post सेब के सिरके के 10 फायदे और नुकसान – Apple Cider Vinegar Benefits in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.

कैंसर के शुरूआती 10 लक्षण और कारण – Cancer Symptoms in Hindi

$
0
0

Cancer symptoms in men and women in hindi: Cancer ek janleva rog hai par agar sahi samay par cancer ke lakshan pehchan liye jaye to iska ilaj karne me aasani hoti hai. First stage me hi cancer ka pta lag jaye to treatment me jada pareshani nahi hoti. Cancer ke early symptoms dikhne par chemotherapy aur radiotherapy se ilaj aasani se ho sakta hai aur iske ilava gharelu nuskhe aur ayurvedic upchar se bhi cancer jad se khatam kiya ja sakta hai. Pursho me lung, throat, mouth, jeebh, prostate, neck, liver cancer jada hota hai aur mahilao me stan (breast), thyroid, garbhashay aur brain cancer hone ki sambhavna adhik hoti hai. Aaj is lekh me hum janenge cancer kaise hota hai aur cancer ke lakshan karan aur upay in hindi.

कैंसर के लक्षण और कारण, Cancer ke lakshan in hindi

 

कैंसर किस कारण होता है – Cancer hone ke karan kya hai

  • Cancer kaise hota hai ye samjhne ke liye hame sharir me cells banne aur khatam hone ke process ke bare me janna hoga. Hamari body me 100 se 1000 tak kharab koshikaye (cells) hoti hai aur har samay hamare sharir me naye cells bante hai aur purane kharab cells khatam hote hai.
  • Red aur white blood cells ka balance bigadne aur cells ka banna control se bahar hone ke karan cancer ka rog hota hai.
  • Khane pine ki galat aadte, sharab aur smoking ke karan cell ke genetic order me badlav aane lagta hai jisse sharir me cancer failta hai.
  • Cancer ke cells sharir me sahi cells ke kaam me rukawat dalte hai aur ye bimar cells body me ghumte rehte hai aur sharir ke dusre ang me ja kar naye bimar cells banate hai jis wajah se us ang ke kaam me bhi problem aane lagti hai.
  • Kya khane se cancer hota hai – tambaco, bidi cigret, sharab, charbi badhane wale food, jada namak, aese foods jo digest hone me jada samay le.
  • Mahilao me cancer hone ka karan jada garbh nirodhak dawa ka istemal, bacche ko apna doodh nhi pilana hai.

 

कैंसर के लक्षण – Cancer ke lakshan

Symptoms of Cancer in Men and Women in Hindi

 

1. Cancer ke early symptoms me achanak se kafi weight loss hona ek bada lakshan hai. Jin logo ko cancer ki bimari hoti hai unka vajan teji se kam hone lagta hai.

2. Thakan aur sharirik kamjori cancer ka ek parmukh lakshan hai. Is bimari me rogi bina kuch kiye bhi thaka thaka rehta hai.

3. Bukhar hona bhi cancer ka lakshan hai. Is rog me sharir ki rog pratirodhak shamta kam ho jati hai jis karan rogi ko bukhar rehne lagta hai. Blood cancer me aksar bukhar ke lakshan dikhte hai.

4. Skin kaali padna, bewajah sawlapan aana aur tvacha ka pila padna bhi cancer hone ke lakshan hai.

5. Lambe samay tak kabj ki shikayat rehna ya fir lambe samay tak diarrhea (dast) ki samasya rahe to ye pet ke cancer ke symptoms ho sakte hai.

6. Cancer hone par pachan kriya kamjor ho jati hai, agar khana thik se digest na ho rha ho to ye bhi stomach cancer ho sakta hai.

7. Brain cancer me rogi ko aksar sir dard ki shikayat rehti hai jo upchar aur dawa se bhi thik nhi ho pata.

8. Peshab karte waqt agar dard ho ya peshab me blood aa rha ho to ye prostate cancer ho sakta hai.

9. Breast me ganth hona stan cancer ke lakshan hai. Breast cancer ki shikayat kewal mahilao me hi nahi pursho me bhi ho sakti hai.

10. Sardi aur jukham me cough aana normal hai par agar ye cough lambe samay tak rahe to ye cancer ki pehchan ho sakti hai.

11. Khate pite samay dard hona aur kuch bhi nigalne me taklif hona throat cancer ke lakshan hai.

12. Khansi, peshab aur mal tyag ke samay khoon aana bhi cancer ho sakta hai. Aesi jagah se blood aana jaha se blood aane ki sambhavna naa ho to vo cancer symptoms me se ek hai.

13. Jab hame chot lagti hai to vo kuch samay baad thik ho jati hai par agar lambe samay tak treatment ke baad bhi ghav thik naa ho ya fir ghav ki jagah koi ganth ban jaye aur isme koi dard naa ho to bhi cancer ke sanket ho sakte hai.

14. Cancer ki pehchan jitni jaldi hogi iske ilaj me utni hi aasai hogi. Cancer ke lakshan dikhte hi turant dictor se milna chahiye.

 

स्तन कैंसर के लक्षण – Breast Cancer Symptoms in Hindi

  • Stano me dard hona, khujli ya dhabbe padna.
  • Kisi breast ka size achanak se kam ho jana.
  • Breast me doodh ke ilava koi aur taral pdarth nikalna.
  • Stan me ganth banna ya breast ki ek side par sujan aana.

 

मुंह के कैंसर के लक्षण – Mouth cancer information in hindi

  1. Munh me kahi dard ya sunn hona.
  2. Jeebh hilane par bhi dard hona.
  3. Munh me koi jakham ya fir koi ganth hona.
  4. Jaabh, honth ya munh me kisi jagah par rang laal ya safed hona.

 

गले के कैंसर के शुरुआती लक्षण – Gale ka cancer in hindi

  • Kuch bhi nigalne me pareshani honaa.
  • Lambe samay tak khansi, kharash ya gale me dard rehna.
  • Gale me sujan rehna.
  • Teji se vajan kam hona.

 

Dosto Cancer ke lakshan karan aur upay, Symptoms of cancer in men and women in hindi ka ye lekh kaisa laga hame btaye aur agar aapke pass breast, mouth, throat, blood, cervical, neck, stomach, lungs, liver cancer ke early symptoms se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

The post कैंसर के शुरूआती 10 लक्षण और कारण – Cancer Symptoms in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.


बच्चों के बुखार के 10 रामबाण उपाय – Baby Fever Home Remedies in Hindi

$
0
0

Bacho ke bukhar ke liye gharelu upay aur ilaj in hindi: Bukhar aana kisi rog ka shuruati lakshan bhi ho sakta hai par hamesha fever hone ka matlab koi bimari hona bhi nahi hota. Chote bachon ko tej bukhar jadatar viral infection ke karan hi aata hai. Bache ko bukhar aane par bina doctor ki salah ke dawa (medicine) nahi dena chahiye. Aaj is lekh me hum janenge navjat shishu ya chote bache ko bukhar ho to ilaj ke liye kya kare, natural home remedies and ayurvedic upchar for child/baby fever treatment in hindi.

Is lekh me btaye gaye upay aur nuskhe aapki jankari ke liye hai bacho ke bukhar ka ilaj ke liye koi bhi upay aur dawa karne se pahle doctor ki salah jarur le.

बच्चों को बुखार का घरेलू उपचार, Bacho ke bukhar ke liye gharelu upay

 

बच्चों के बुखार का कारण – Bache ko bukhar ka karan

  1. Chote bache aksar pura din khelte rehte hai jis karan unhe thakawat ho jati hai aur bukhar ho jata hai.
  2. Jada thand lagna, thande paani se nahana, jukham hona aur gala kharab hona kuch aese karan hai jisme bachon ko bukhar aata hai.
  3. Baby ko daant nikalte waqt bhi bukhar ho jata hai.

 

बच्चे को बुखार के लक्षण – Bachon ko bukhar ke lakshan

  • Jada thand lagna ya fir jada garmi lagne ke karan sharir me becheni hona.
  • Sharir tutne lagna, saans tej hona, bukh nahi lagna, sir me dard hons aur aankhe laal hona.
  • Kabj, ji machalna, sir garam hona, chakar aana, susti aur jada pyas lagna baby ko fever ke symptoms hai.

 

बच्चों को बुखार का घरेलू उपचार – Bacho ke bukhar ke liye gharelu upchar in hindi

 

1. Ek saal se kam umar ke child ke liye tulsi bahut faydemand hoti hai. Ye ek natural antibiotic hai jo immunity badhane me mdad karti hai. 1 cup paani me mutthi bhar tulsi ke patte ubaal le. Iske baad isme thodi shakar mila kar bache ko de.

2. Tulsi ke patte chabane se bache ke cough ka ilaj karne me mdad milti hai.

3. Bukhar dur karne ke liye giloy ko ramban ayurvedic dawa mana jata hai. Chote bache ko bukhar ho to thoda giloy ka ras 120 ml shahd me mila kar bache ko din me 3 bar chata de.

4. Tulsi ke 2 patte aur 2 kali mirch pees kar shahad ke sath milaye aur bacche ko din me 3 baar chataye. Is gharelu upay se baby ka fever utarne lagega.

5. Jaayfal pees kar maathe, naak aur chaati par lep karne se bukhar me aaram milta hai.

6. Navjat shishu ko bukhar aane par ek kapda pani me bhigo kar thandi patti shishu ke sir par rakhe. Bukhar utarne ke liye baby ke hath pair kamar par bhi kapde ka pryog kare. Dhyan rahe ice wala jada thanda paani istemal naa kare.

7. Bacho ko bukhar ke liye gharelu nuskhe me apple cider vinegar ka paryog bhi kar sakte hai. Gungune paani me apple cider vinegar mila kar isme ek kapda bhigo kar nichod le aur isse bache ki body par spoonz kare. Din me 2 se 3 baar is upay ko karne se bukhar dur hone lagega.

8. 6 mahine se kam umar ke bache ko bukhar hai to uske liye maa ka doodh sabse jaruri hai. Isse shishu ko jaruri nutritions milte hai jisse bache ki immunity badhti hai air shishu ko bukhar se ladne ki takat milti hai.

9. Bache ko bar bar bukhar aane par aur upay aur bukhar ki dawa lene ke baad bhi aaram na milne par turat doctor se mile.

10. Agar maa bache ko doodh pilati hai to use bhi bat bat par dawa khane se bachna chahiye.

 

छोटे बच्चे के बुखार के लिए टिप्स – Baby fever treatment tips at home in hindi

  • Bukhar ke karan bache ki body me paani ki kami naa ho isliye jaruri hai bache ko din bhar paani aur liquid diet dete rahe.
  • Navjat shishu agar din bhar rota rehta hai to doctor se mil kar baby ka checkup karwaye.
  • Bache me bukhar ke sath sath dusre lakshan bhi dikh rahe hai to is bare me doctor ko btaye jese ki sardi jukham, dast, ulti aana.
  • Shishu ke pairo ke nichle bhag par halke gungune jaitun ke tel se malish kare, isse bache ko achi neend aayegi jo bukhar jaldi thik karne ke liye jaruri hai.
  • Baby ko aaramdayak kapde pehnaye aur use aaramdayak room me rakhe jahan ka temprature naa kam ho naa jada ho.

 

Dosto Bacho ke bukhar ke liye gharelu upchar, Home remedies for baby/child fever treatment in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass bache ko bukhar aane par ilaj ke upay nuskhe aur dawa ke tips hai to hamare sath share kare.

The post बच्चों के बुखार के 10 रामबाण उपाय – Baby Fever Home Remedies in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.

लड़कों के लिए गोरा होने के 10 आसान उपाय – Beauty Tips for Man in Hindi

$
0
0

Ladko ke gora hone ke upay aur gharelu nuskhe in hindi: Ladka ho ya ladki har koi chahta hai uska rang gora ho aur face par glow dikhe. Jis tarah ladkiyo ke chehre ke liye bazar me kai tarike ke beauty products maujood hai thik vese hi boys ke liye bhi kai parkar ki rang gora karne wali cream aati hai. Ladkiya fir bhi apni skin ki care karti hai par ladke apni tvacha ki dekhbhal par jada dhyan nahi dete aur pollution aur dhoop ke karan aksar pursho ke chehre ka rang kala padne lagta hai aur kai bar pimples bhi hone lagte hai. Aaj is lekh me hum ladko ko gora hone ke upay janenge, naturally glowing skin and face homemade beauty tips for man in hindi.

Pursho ki skin mahilao ke mukable jaldi oily ho jati hai aur pursho ki tvacha ke rom chidar bhi bade hote hai jis karan unki tvacha moti aur majbut hoti hai. Bahut se ladke gorapan pane ke liye ladkiyo wali beauty cream pryog karte hai par koi bhi cream istemal karne se pahle boys ki apni skin type janna jaruri hai.

लड़कों के लिए गोरा होने के उपाय, Homemade beauty tips for man in hindi

 

त्वचा के बारे में जाने – Skin type kya hai

  • Chehre par glow lane aur tvacha ki dekhbhal ke liye sab se pahle apni tvacha ke bare me jane.
  • Ek tissue paper se aap apni skin check kar sakte hai ki kya skin oily hai ya dry hai.
  • Apne face par tissue paper fira kar dekhe agar aapki skin oily hai to aap ko pta lag jayega.
  • Agar aap koi beauty cream istemal karna chahte hai to apni tvacha ke anusar hi iska chunav kare.

 

लड़कों के लिए गोरा होने के उपाय और नुस्खे

Homemade Beauty Tips for Man in Hindi

 

1. Subh sham apne face ko paani se dhoye. Khaskar jab aap bahar se ghar aaye tab face wash karna naa bhule. Vese to bazaar me kai parkar ke face wash milte hai par jitna ho sake apni skin ke liye natural face wash jese ki aelovera, nimbu ya neem ka face wash hi pryog kare. Isse chehre par jama dhool mitti dur hoti hai aur face clean hota hai.

2. Chehra saaf karne ke liye cotton ki mdad se nimbu ka ras face par lagaye aur 15 minute baad chehra dho le. Ladko ke liye ye upay natural bleach ki tarah kaam karta hai. Is gharelu nuskhe se chehre par kale daag dhabbe saaf hote hai aur skin se pimples bhi dur rehte hai.

3. Besan me nimbu ka ras aur thodi haldi mila kar paste bana le aur apni tvacha par lagaye. Face par glow lane aur skin tone karne ke liye ye achuk upay hai.

4. Gora hone aur chehre par chamak lane ke liye santra bhi faydemand hai. Santre ke chilke ka powder 2 chammach aur dahi 3 chammach mila kar paste bana le. Is paste ko chehre par lagaye aur 15 minute baad gulab jal se saaf kare. Kuch din is gharelu face pack ke istemal se rang gora hone lagta hai.

5. Skin healthy aur sundar rahe iske liye jaruri hai khoob paani piye.

6. Chehre par chamak lane ke liye ladke chahe to olive oil bhi lga sakte hai.

7. Ladko ke Gora hone ke liye tips me aahar me kya khana chahiye aur kya nahi khaye iska dhyan rakhna bhi jaruri hai. Taaje fal aur hari sabjiya apni diet me shamil kare isse skin ko jaruri poshak tatv milenge aur tvacha saaf rahegi.

8. Man homemade beauty tips me kacha doodh bhi kafi asardar upay hai. Chehre aur haatho par kacha doodh lga kar 15 minute baad dhoye.

9. Junk food khana chehre par pimples hone ka ek karan hai aur chehre ka nikhar bhi kam hone lagta hai.

10. Vitamin C me umar badhne se rokne ke natural gun hote hai, isliye apne aahar me vitamin C wale food khaye.

 

पुरुषों के लिए ब्यूटी टिप्स – Skin Care Tips For Men In Hindi

  • Scrub ke paryog se tvacha se dead cells ko hataye.
  • Samay samay par facial karwate rehna chahiye, isse chehre ke daag saaf karne me mdad milti hai.
  • Agar aap chahte hai aapki tvacha hamesha fresh dikhe to 6 se 8 ghante ki neend jarur le.
  • Sabun ke paryog se hath pair ki skin dry hone lagti hai, isse bachne ke liye shower gel pryog kar sakte hai, isse tvacha ki nami bani rahti hai.
  • Suray ki dhoop se bhi tvacha ka rang kala padne lagta hai, isliye ghar se nikalne se pahle sunscreen cream lagaye isse dhoop me chehra kala nhi hoga.
  • Ladko ke liye jaruri hai ki ve shaving karte samay kabhi jaldbaji na kare, jisse chehre par cut lag sakta hai aur chehra kharab ho sakta hai.
  • Yoga aur exercise se body me blood circulation sahi rehta hai jisse body aur skin swasth rehti hai.

 

Dosto ladko ko gora hone ke upay aur tarike, Homemade beauty tips for man face in hindi ka ye lekh kaisa lga hame bataye aur agar aapke pass pimples ka ilaj aur rang gora hone wali cream ka name aur gharelu nuskhe se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

The post लड़कों के लिए गोरा होने के 10 आसान उपाय – Beauty Tips for Man in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.

ग्रीन टी पीने के 10 फायदे और नुकसान – Green Tea Benefits in Hindi

$
0
0

Green tea ke fayde aur nuksan in hindi: Green tea ke benefits dekhte hue pichle kuch samay se iska isteemal kaafi badh gya hai. Jadatar log weight loss ke liye iska sevan karte hai, par motapa aur pet ki charbi kam karne ke ilava skin aur balo ke liye bhi ye kafi faydemand hai. Iske ilava rojana green tea peene se kai rogo se bachne aur unke ilaj me bhi mdad milti hai, par iska pura fayda tabhi milta hai jab ise peene ka sahi time aur sahi tarika malum ho. Patanjali or lipton green tea aajkal kafi chalan me hai. Aaiye jane green tea benefits in hindi for skin, hair, weight loss and other health problems.

ग्रीन टी के फायदे और नुकसान, Green tea benefits in hindi

 

ग्रीन टी बनाने की विधि – Green tea kaise banaye

  • Ek bartan le aur usme 1 cup paani ubaal le.
  • Agar aap pattiyo wali green tea istemal kar rhe hai to isme aadhe se ek chammach pattiya dale aur 2 minute ke liye bartan ko dhak de fir ise chaan kar piye.
  • Green tea bag paryog kar rhe hai to khali cup me garam paani daal kar isme tea bag dale aur kuch der tak bag ko hilaye fir piye.
  • Aap chahe to isme shahad aur ilaychi powder bhi mila sakte hai.
  • Lipton green tea tulsi, nimbu aur shahad ke sawad me bhi aati hai ise bhi istemal kar sakte hai.

 

ग्रीन टी के फायदे क्या है

Green Tea Benefits in Hindi

 

1. Cancer jese gambhir rog se bachne aur iske ilaj me green tea peene se kaafi mdad milti hai. Ye body me cancer cells badhne se rokta hai. Green tea har roj pine se women me breast cancer hone ki sambhavna 20% tak kam hoti hai aur men me muh ka cancer, prostate cancer hone ke chances bhi kam hote hai.

2. Sugar ke rogi ke liye bhi green tea peena acha upay hai. Ye body me blood sugar level ko control karta hai aur type 1 or 2 dono tarah ki diabetes me upyogi hai.

3. Green tea har roj pine se high blood pressure ki sambhavna ko kam kiya ja sakta hai. Ise pine se high bp ki samasya me 50% tak kami aati hai.

4. Cholesterol kam karne ke liye bhi hari chai faydemand hai. Iske sevan se body me bad cholesterol ka level kam hota hai aur good cholesterol ka level badhta hai. Regular green tea pine se heart attack aur heart ki problems ka khatra bhi kam hota hai.

5. Green tea ke fayde balo ke liye bhi achuk hai. Ye hairs ke liye conditioner ki tarah kaam karti hai. Green tea paani me ubaal kar is paani ko thanda hone de aur isse baal dhoye, is gharelu nuskhe se baalo ka jhadna kam hota hai aur baal sundar hote hai.

6. Munh ki badboo aur mouth ki dusri problems dur karne ke liye bhi green tea ka sevan karne se fayda milta hai. Green tea muh me un bacteria ko khatam karta hai jinke karan munh me infection hota hai aur munh me badboo, mouth cancer aur payriya jese rog hote hai.

7. Lagatar kaam karne ki wajah se agar susti aur thakan ho jaye to 1 cup green tea piye. Is upay se aap fresh mehsus karenge. Iske regular use se body ka stamina badhta hai.

8. Green tea me antioxidant aur vitamin C bharpur hota hai jo body ke free radicals khatam kar ke body ki immunity badhata hai.

9. Weight loss karne aur motapa kam karne ke upay me green tea peene se fayda milta hai. Green tea me caffeen ki matra adhik hoti hai jo pet ki charbi ghatane me mdad karti hai. Khane khane ke kuch der baad 1 cup green tea piye.

10. Skin ke liye green tea kafi faydemand hai. Umar badhne ke sath sath chehre ki tvacha dhili padne lagti hai aur face par jhuriya dikhne lagti hai. Har roj green tea pine se chehre ka glow bana rehta hai aur skin dhili nahi padti.

 

ग्रीन टी पीने के नुकसान – Green tea side effects in hindi

  • Green tea me caffeen jada hoti hai isliye adhik matra me iske sevan se neend na aana, ulti, dast, pet ki kharabi aur bar bar peshab aana jesi samasya aa sakti hai.
  • Iska sevan adhik karne se bhukh kam lagti hai. Isliye chote bacho ke liye iska sevan karna thik nahi hai.
  • Green tea jada peene se sharir me iron ki kami ho sakti hai.
  • Pregnancy ke dauran green tea nuksan kar sakti hai. Iske ilava jo mahilaye pregnant hone ka soch rhi hai unhe bhi iska sevan nahi karna chahiye.
  • Agar aap kisi bimari ke ilaj ke liye koi dawa le rahe hai to dhyan rahe koi medicine aur green tea dono sath me naa le.

 

Dosto Green tea ke fayde aur nuksan, Green tea benefits in hindi ka ye lekh kaisa laga hame bataye aur agar aap ke pass weight loss, hair or skin ke liye green tea peene ke fayde se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

The post ग्रीन टी पीने के 10 फायदे और नुकसान – Green Tea Benefits in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.

हाई ब्लड प्रेशर में क्या खाना है और क्या नहीं – High BP Diet in Hindi

$
0
0

High blood pressure me kya khaye aur kya nahi in hindi: Achanak se tabiyat kharab hone, kamjori aane aur chakar aane par blood pressure high ya low ho sakta hai. BP badhne aur kam hone ki samasya badi umar ke logo me adhik hoti hai. Kuch log bp control me rakhne ke liye dawa khate hai to kuch log gharelu upay aur ayurvedic nuskhe se is rog ka ilaj karte hai. Bimari koi bhi ho treatment ke liye medicine aur upay ke sath sath khane pine me parhej aur kya food khaye iski jankari hona bhi jaruri hai. Aaj is lekh me hum janenge  high bp me kya kya khana chahiye aur kya nahi khana chahiye, list of foods for high blood pressure diet in hindi.

हाई ब्लड प्रेशर में क्या खाना चाहिए, High blood pressure me kya khaye

 

हाई ब्लड प्रेशर में क्या होता है – High blood pressure me kya hota hai

  • Ek dum gabhrahat hona
  • Saans lene me pareshani mehsus karna
  • Kamjori mehsus hona aur dhundhla dikhna
  • Bolna aur kuch bhi samjhna mushkil hona
  • Chaati me dard aur bharipan mehsus hona
  • Thakan hona aur tej sir dard karna

 

हाई ब्लड प्रेशर में क्या खाएं

High Blood Pressure Me Kya Khaye

 

1. BP high hone par diet me calcium, magnesium aur potassium se bharpur food khaye. Doodh, dale, hari sabjiyan, lehsun, pyaaj, soyabean, badam aur santra me ye poshak tatav adhik matra me hote hai. Har roj 5 se 7 badam aur 3 se 4 akhroat khaye.

2. Teen mahine tak subah khali pet 2 kaliya lehsun khane se bp puri tarah control me aane lagta hai.

3. Khatte fal, soup, nimbu paani, salad, kale chane, nariyal paani, aalsi, soya khaye.

4. Gobhi, paalak, bathua, lauki, kaddu, tinde, hari pattedar sabjiya apne aahar me adhik khaye aur inke sath nimbu aur pudeena bhi pryog kare.

5. Falo me tarbuj, kela, aanar, angur, mausami, seb, papita, ananas, amrud khaye.

6. Bhojan ke liye soyabean tel ka pryog karna accha gharelu upay hai.

7. Salad me gajar, gobhi, mulli, kheera, tamatar aur pyaaj ka sevan karne se bp control karne me mdad milti hai.

8. Chaach aur bina malai ka doodh lena bhi faydemand hai.

9. Blood pressure ke rogi ko paani adhik peena chahiye. Din me 8 se 10 gilass paani piye.

10. Apne aahar me omega-3 shamil kare. Badam, aalsi aur akhroat me ye paryapt matra me hota hai.

 

हाई बीपी में क्या नहीं खाना चाहिए – High bp me kya nahi khana chahiye

  • BP badhne ki samasya me namak kam khaye. Din bhar me aadha chammach namak khana kaafi hai.
  • Chai aur coffee ka jada sevan karne se blood pressure badh jata hai.
  • Bhojan karte samay upar se namak naa dale.
  • Aachar, chatni, saus, ajeenamoto, baking powder khane se parhej kare.
  • Papad bina namak wala hi khaye.
  • Dibba band khana khane se bache, aese foods me preservatives hote hai aur inme namak bhi adhik matra me hota hai.
  • Aese food khane se parhej kare jisme fat adhik ho ye foods bp bdhate hai.
  • Smoking aur sharab ke sevan se door rahe.
  • Baking soda apni diet me shamil naa kare.

 

बीपी हाई होने के कारण – BP High Hone ke Karan

  • Blood pressure high hone ka karan vajan badhna hai. Jo vyakti mota hota hai use bp badhne ka khatra adhik hota hai.
  • Physically active na rehna, exercise naa karne se bhi blod pressure ki samasya ho jati hai.
  • Pregnancy ke dauran bhi garbhwati mahilao me bp high hone ki samasya hoti hai.
  • Dil ka rog, sugar, kidni ke rog hone se bhi bp high ho jata hai.

 

Dosto High blood pressure me kya khaye kya na khaye, Foods for high bp diet in hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame btaye aur agar aapke pass bp high ho to kya khana chahiye aur kya nahi khana chahiye aur ilaj se jude gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.

The post हाई ब्लड प्रेशर में क्या खाना है और क्या नहीं – High BP Diet in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.

लिवर खराब होने के लक्षण और 5 आसान उपाय – Liver Problem in Hindi

$
0
0

Liver kharab hone ke lakshan aur upay in hindi: Kisi rog ki shuruaat me agar uske symptoms ki pehchan ho jaye to samasya badhne se pahle uska ilaj kiya ja sakta hai. Liver kharab hone par liver ki garmi, fatty liver, liver cirrhosis, liver me sujan aur liver kamjor hona jesi problem hoti hai. Liver kharabi ke karan sharir ki kaam karne ki shamta kam ho jati hai aur sharir me kamjori aane lagti hai. Kuch log liver ke rog thik karne ke liye dawa ka sahara lete hai par aap bina medicine ke gharelu nuskhe aur ayurvedic upchar se liver ki kharabi aur kamjori ka ilaj ghar par aasani se kar sakte hai. Aaj is lekh me hum janenge liver thik se kam kar rha hai ya nahi iske lakshan aur upay kya hai, treatment and symptoms of liver problem in hindi.

लिवर की खराबी के लक्षण और उपाय, Liver kharab hone ke lakshan

 

लिवर की खराबी के कारण – Liver Ki Kharabi Ke Karan

  • Dard nivarak dawao ka adhik sevan karne se liver ko nuksan pahunchta hai.
  • Cancer, hepatitis aur sharir me maujood vishele tatvo ke karan liver par bura asar padta hai.
  • Smoking aur sharab liver kharab hone ka bada karan hai. Inke adhik sevan se liver damage ho sakta hai.
  • Hepatitis B aur C liver cancer ke parmukh karan hai.
  • Motapa, diabetes aur kisi medicine ke side effect ke karan fatty liver ki samasya aane lagti hai.
  • Khane peene me laparwahi karna aur fast food adhik khane se bhi liver problem hoti hai.

 

लिवर खराब होने के लक्षण और उपाय

Liver Kharab Hone Ke Lakshan in Hindi

 

1. Liver kharab ho gaya hai ya sahi se kaam nahi kar rha hai to munh se badboo aane lagti hai. Iske ilava fever nahi hone par bhi muh ka sawad kharab hona aur muh me kadwapan bana rehna bhi liver ki kharabi ke lakshan hai.

2. Jada thakan hona, skin par rukhapan aana, aankho ke niche dark circles ho jana bhi liver kharab hone ki pehchan hai. Liver kamjor hone par skin ko nuksan hona aur baalo se judi samasya hone lagti hai.

3. Liver ka kaam sidhe pachan kriya se juda hota hai aur isme kharabi aane par bhukh naa lagna, pet me gas banana, pet me bharipan aur seene me jalan jesi problems aati hai.

4. Gehre rang ka peshab aane lage to liver me gadbadi ke sanket hai, par agar aesa sirf ek bar hi hota hai to ye paani ki kami ke karan ho sakta hai.

5. Aankho me peelapan aana, nakhun peele dikhna piliya hone ke lakshan hai jiska matlab hai liver me infection hai.

6. Liver me fat jamne se fatty liver problem hoti hai jisse pet me sujan aa jati hai jisko hum motapa samjh lete hai.

7. Pet me upar daayi taraf dard hona bhi liver ke rog ke sanket ho sakte hai.

 

लिवर की खराबी का घरेलू इलाज – Liver Kharab Hone Par Upay in Hindi

  • Liver ke rog thik karne ke liye papita bhut faydemand hai, khaskar liver cirrhosis ke ilaj me. 2 chammach papite ka ras aur aadha chammach nimbu ka ras mila kar har roj piye. Ek mahine tak is gharelu upay ko karne se is rog se rahat milti hai.
  • Aawla ayurveda me ramban aushadhi mana gya hai. Isme vitamin C bharpur matra me hota hai. Liver ki kamjori dur karne aur sahi tarike se kaam karne ke liye aawla me jaruri poshak tatav mayjood hote hai. Liver ko swasth rakhne ke liye har roj 3 se 4 aawle khane chahiye.
  • Apple cider vinegar jise seb ka sirka jise ke naam se jante hai, ye liver me maujood hanikarak pdarth bahar nikalne ka kaam karta hai. 1 gilass paani me 1 chammach seb ka sirka mila kar sevan kar sakte hai.
  • Liver kharab hone par upay ke sath sath aahar me roti naa kha kar yak am khaye aur fal sabjiyo ka sevan adhik kare. Sabji me masale ka paryog na kare aur ghee aur tali hui chio ka sevan kam kare.
  • Aahar me tamatar, gajar, karela, palak, bathua, lauki, hari sabjiya, aanwla, jamun, lichi, seb aur chaach ka pryog kare.

 

लिवर की देखभाल कैसे करे – Liver ki dekhbhal kaise kare

  • Sharab aur smoking ka sevan kam karna chahiye.
  • Khane peene me laparwahi nhi karni chahiye aur fast food khane ki bajay poshtik aahar khaye.
  • Bina doctor ki salah ke dard nivarak dawa ka adhik sevan nahi kare.
  • Apni diet me vitamin aur minerals se bharpur food shamil kare.
  • Din bhar me 8 se 10 gilass paani piye, isse sharir ki gandagi bahar nikalti hai aur liver saaf hota hai.
  • Yoga aur exercise ko apni dincharya me shamil kare isse body me blood ka circulation acha hota hai.

 

Dosto Liver kharab hone ke lakshan, Symptoms of liver problem in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass liver ki kharabi ke lakshan ilaj upay aur desi gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.

The post लिवर खराब होने के लक्षण और 5 आसान उपाय – Liver Problem in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.

गला खराब होने और बैठने पर 10 घरेलू उपाय – Gala Kharab Ke Upay in Hindi

$
0
0

Gala kharab hone par gharelu upay aur ilaj in hindi: Sardi ke mausam me sardi jukam, bukhar aana, gala kharab hona aur aawaj baith jane ki samasya hona aam hai, par thand ke ilaava gale me infection, chale, sujan, khansi, dard aur kharash ke karan bhi gala baithne aur kharab hone lagta hai jis karan kuch bhi khane aur nigalne me pareshani hoti hai. Kuch log gala baith jane par treatment ke liye dawa lete hai par hum bina medicine ke desi ilaj aur gharelu nuskhe se gala kharab ka upchar kar sakte hai. Aaiye jane gala baithne par kya kare, gala kharab home remedy in hindi.

गला खराब होने पर क्या करे, Gala kharab hone par gharelu upay in hindi

 

गला खराब होने के कारण – Gala Kharab Hone Ke Karan

  • Thand lagna aur sardi jukam hona gale ke rog ka ek karan hota hai.
  • Gusse me jada jor se chilane par gala baithne lagta hai.
  • Unchi aawaj me gana gaane ya kuch padhne se gala baith jata hai.
  • Jada khatta aur masaledar khane se gala kharab ho sakta hai.
  • Gale me chale, sujan, khansi, kharash aur gale ka cancer jese rog se aawaj baith jaati hai.
  • Gale me balgam (cough) jam jaane se aawaj kharab ho jati hai aur bolne me pareshani hoti hai.

 

गला खराब होने पर घरेलू उपाय और इलाज

Gala Kharab Hone Par Gharelu Upay in Hindi

 

1. Gala kharab hone par namkin paani se grare karna achuk upay hai. Paani me thoda namak mila kar gunguna kare aur isse grare kare.

2. Mulethi ko munh me rakh kar chabaye aur iske ras ka sevan karne se gala saaf hota hai aur sath hi gale ki sujan aur dard se bhi rahat milti hai.

3. Tulsi ki pattiyon me gale ka infection dur karne ke gun hote hai. Tulsi ki kuch pattiya paani me ubaal le aur ise thanda hone par is paani se garare kare. Din me 2 se 3 bar ye upay karne par gala saaf hone lagega.

4. Gale ki kharash aur sukhi khansi ka ilaj ke liye pisi hui adarak me thoda gud aur ghee mila kar khaye. Isme shahad ka pryog bhi kar sakte hai.

5. Methi ke daane paani me ubaal kar paani ko chaan le aur isse grare kare. Is gharelu nuskhe se gale ka infection khatam hota hai aur gale ki taklif dur hoti hai.

6. Ek gilass paani ubaal kar isme chutkti bhar kaali mirch, thodi si pisi hui laung aur 1 chammach shahad mila kar pine se gale ko aaram milta hai.

7. Paani me chai patti, chini aur tejpatta daal kar ubaale aur chaan kar ise piye. Isme chahe to doodh mila le. Tejpatte ki chai peene se gala jaldi thik hone lagta hai.

8. Sardi aur cough se pareshan hai to pyaaj ke ras ka sevan kare aur chahe to isme thoda gud ya shahad mila le.

9. Gale ke rog ka upchar karne ke liye gungune paani me sirka mila kar grare karne se bhi fayda milta hai.

10. Kuch bhi khane me pareshani ho rhi hai aur kuch bhi nigalne me dard ho rha hai to 1 gilass desi gaay ke doodh me 1 chammach desi ghee aur ek chauthai chammach haldi mila kar ubaale au rise chai ki tarah piye.

 

गला बैठ जाने पर क्या उपाय करे – Gala Baith Jane Ka ilaj in Hindi

  • Gala baith gya hai to 1 gilass gungune paani me 1 chammach shahad daal kar grare kare, isse aawaj khul jati hai aur gala thik hota hai.
  • Balgam hone ke karan gala baith jaye to saunth, daalchini, pudina aur hari chai ka kadha bana kar piye. Is upay se gale me jama cough bahar nikalti hai aur gala saaf hota hai.
  • Aawaj baithne par garam paani me thoda lehsun ka ras mila kar grare kare, isse gala saaf hoga aur aawaj thik hogi.
  • Bolne me pareshani ho rhi hai to 10 se 12 patte tulsi ke chba chba kar khaye, thodi der me hi gala saaf hone lagega aur aawaj khulne lagegi.
  • Gala baithne par treatment ke liye garam paani me namak daal kar grare karna sabse aasan aur acha upay hai.
  • Kaali mirch aur mishri muh me rakh kar chabaye aur iska ras chusne se baitha hua gala khul jata hai.

 

Dosto Gala kharab hone par gharelu upay, Gala baithna treatment home remedy in hindi ka ye lekh kais alga hame btaye aur agar aapke pass gale ke rog ka ilaj aur gala baith jaane par kya kare ke desi nuskhe aur ayurvedic upchar se jude suhav hai to hamare sath share kare.

The post गला खराब होने और बैठने पर 10 घरेलू उपाय – Gala Kharab Ke Upay in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.

यूरिक एसिड में क्या खाएं और क्या परहेज करे – Uric Acid Diet in Hindi

$
0
0

Uric acid me kya khaye aur kya nahi khana chahiye: Sharir me uric acid ki matra badhne par jodo me dard aur sujan ki samasya aane lagti hai aur samay par ilaj na kiya jaye to ye gathiya ban sakta hai jis karan uthane baithne aur chalne me bhi pareshani aane lagti hai. High uric acid control karne ke liye dawa aur gharelu upay karne ke sath sath diet par dhyan dena bhi jaruri hai. Isliye is baat ki jankari hona aham hai ki uric acid badhne par kya khaye aur kya pahej kare. Apne aahar me badlav kar ke uric acid level ko kam kar sakte hai. Aaiye jane uric acid diet and foods tips in hindi.

Hamare sharir me digestion ke dauran food me jo protein maujood hota hai usse pyurin banta hai aur pyurin se uric acid banta hai jo peshab ke jariye body se bahar nikal jata hai, par jab ye sharir me hi jama hone lagta hai tab kai problems aane lagti hai.

यूरिक एसिड में क्या खाएं क्या ना खाए, Uric acid me kya khaye in hindi

 

यूरिक एसिड कितना होना चाहिए – Uric Acid Kitna Hona Chahiye

  • Mahilao me iska normal level 2.4 – 6.0 mg/dl aur purusho me iska level 3.4 – 7.0 mg/dl hona chahiye.
  • High protein aur sugar wale foods jada lene se sharir me uric acid badhne lagta hai. Kuch logo ko genetic karano se bhi uric acid high hota hai.
  • Kidney me kharabi ki wajah se bhi uric acid body se bahar nahi nikal pata aur body me hi jama hone lagta hai.

 

यूरिक एसिड बढ़ने के लक्षण – High Uric Acid Symptoms

  • Pairo aur jodo me dard hona
  • Pair ke anguthe aur edhiyo me dard hona
  • Jodo me sujan aana
  • Jodo me gaanth padna
  • Uthne baithne me jodo aur ghutno me dard hona

 

यूरिक एसिड में क्या खाना चाहिए

Uric Acid Me Kya Khaye in Hindi

 

1. Paani jada peene se body me jama uric acid peshab ke jariye bahar nikal jayega. Din me 3 se 4 liter paani peene ki aadat dale.

2. Subah khali pet 1 gilass lauki ka juice piye. Juice banate samay isme tulsi aur pudeene ke 5-5 patte daal le. 30 se 90 din tak is gharelu upay ko karne par high uric acid kam hone lagta hai.

3. Raat ko sone se pahle 1 gilass paani me 1 chammach arjun ki chaal ka churan aur aadha chammach daalchini powder mila kar chai ki tarah ubaal le aur chaan kar piye. 90 din tak is nukshe se uric acid control me aane lagega.

4. Vitamin C body me uric acid ko badhne se rokta hai aur sath hi ise kam karne me bhi upyogi hai. Apni diet me vitamin C se bharpur aahar aur fal shamil kare jese ki nimbu aur santra.

5. Apni diet me antioxidant se bharpur food khaye, ye body me free radicals ka asar kam karte hai. Laal shimla mirch, angur, blueberry, tamatar aur brocli me antioxidant aur vitamin adhik hote hai.

6. High fiber food khane se body ka bdha hua uric acid control hone lagta hai.

7. Khana pakane ke liye jaitun ka tel pryog kare, ye sharir me uric acid badhne se rokta hai.

8. Seb ke sirka ke 2 se 3 chammach 1 gilass paani me mila kar pine se bhi fayda milta hai.

9. Nariyal paani peene se bhi uric acid ko control me rakhne me mdad milti hai.

10. Seb, gajar aur chakundar ka juice har roj peene se body me ph level badhta hai aur uric acid kam hota hai.

 

यूरिक एसिड बढ़ने पर क्या ना खाएं – Uric Acid Me Kya Parhej Karna Chahiye

  • Uric acid badhne par non veg khane se parhej karna chahiye. Non veg khane se body me uric acid ka level badh jata hai. Maas aur machli khane se bache.
  • Bekri me bani hui chije nhi khana chahiye.
  • Ande (egg) me protein aur fat adhik matra me hota hai aur aese me protein khane se pareshani badh sakti hai.
  • Chawal aur daal khane se bhi uric acid badhne lagta hai.
  • Dibba band khana bhi uric acid badhta hai. Chips, cold drink, fast food se parhe kare.
  • Khana khane ke dauran paani naa piye. Paani khana khane ke ek ghanta pahle aur baad me hi piye.
  • Raat ko sone se pahle doodh aur daal ka sevan na kare.
  • Dahi, dry fruits, aachar, chawal, palak ke sevan se parhej karna chahiye.
  • Sharab aur smoking ke sevan se bhi uric acid badh jata hai aur isse sharir ko bhi nuksan hota hai.

 

Dosto Uric acid badhne par kya khana chahiye aur kya na khaye in hindi ka ye lekh aapko kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass uric acid me kya khaye kya parhej karna chahiye aur ilaj ke liye gharelu upay se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

The post यूरिक एसिड में क्या खाएं और क्या परहेज करे – Uric Acid Diet in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.


चेहरे के दाग और पिम्पल हटाने की क्रीम – Pimple Ki Best Cream in Hindi

$
0
0

Chehre ke daag aur pimple hatane ki cream in hindi: Keel muhase, fode funsi, gadde, kale daag dhabbe aur chote chote dane face ki khubsurati bigad dete hai. Kuch log gharelu upay aur ayurvedic ilaj se face ki problems se chutkara pa lete hai par kuch log aese bhi hai jinki pareshani dur nahi ho pati. Aese me ve skin treatment ke liye dawa aur cream ka sahara lete hai. Aajkal bazzar me kai tarike ki beauty fairness cream, medicine aur face wash maujood hai par pimple ke liye best cream kon si hai aur daag dhabbe hatane wali cream name kya hai ye janna mushkil ho jata hai. Aaj is lekh me hum chehre ke daag hatane ki aur keel muhase ka ilaj ke liye cream aur dawa ke naam janenge, medicine name and best cream for pimples and dark spots on face in hindi.

Ek bar pimples thik hone ke baad agar aapko dubara ho jate hai to upay aur dawa ke pryog ke sath sath apne aahar par bhi dhyan de. Khane me poshtik bhojan khaye aur paani jada piye, isse aapki tvacha ko jaruri poshak tatv milenge aur bar bar keel muhase ki samasya se chutkara milega.

चेहरे के दाग धब्बे और पिम्पले हटाने की क्रीम, Pimple hatane ki cream in hindi

 

चेहरे के दाग धब्बे के लिए और पिम्पल हटाने की क्रीम

Pimple Hatane Ki Cream Aur Face Wash in Hindi

 

1. Vicco Turmeric WSO Cream

1. Vicco cream ki sabse acchi baat ye hai ki isme chemical nhi hota aur iske fayde dekhte hue ise face ke liye best cream mana gya hai.

2. Jin logo ki skin oily hoti hai unke liye ye ayurvedic cream bahut faydemand hai.

3. Is cream me turmeric hota hai jisme antiseptic gun hote hai. Niyamit roop se is cream ka istemal karne par face par pimple ki problem nahi hoti.

4. Skin care karne ke sath sath pimple hatane, dark spots dur karne, katne aur jalne ke nishan saaf karne me bhi ye cream bahut asardar hai.

 

2. Himalaya Clarina Anti-Acne Cream

1. Chehre par pimple aur funsi thik hone ke baad daag aur nishan reh jate hai jise hatane ke liye ye ek asardar formula hai. Is beauty cream ke niyamit pryog se chehre ke kale daag dhabbe dhire dhire saaf hone lagte hai.

2. Daag hatane ke ilava ye cream keel muhase ka ilaj karne aur tvacha ko moisturize karne me bhi upyogi hai.

3. Himalaya acne – n – pimple cream bhi keel muhase ki cream hai.

 

3. Nomarks Cream

  • Chehre ke daag ke liye cream me nomarks cream ka paryog bahut kiya jata hai.
  • Face ke dark spots aur dark circles thik karne me nomarks cream kaafi upyogi hai. Is cream me anti oxidant aur anti bacterial gun hote hai jo tvacha ke nishan aur daag dhabbe ka ilaj kar sakte hai.

 

4. Khadi Herbal Acne Pimple Cream

  • Jo log bina chemical wali ayurvedic guno se bharpur cream pryog karna chahte hai unke liye ye best cream hai.
  • Ye herbal acne cream tvacha ke muhase aur daag saaf karti hai aur tvacha ko mulayam banati hai.

 

पिम्पल के लिए फेस वाश – Pimple Ke Liye Best Face Wash

  • Himalaya neem face wash
  • Nomarks acne pimple face wash
  • Aroma magic neem tea tree face wash
  • Khadi neem tea tree and basil face wash
  • Garnier pure active neem and tulsi face wash
  • Fair and lovely pimple off fairness on
  • Clean & clear pimple clearing face wash
  • Pond’s pimple cream white multi action facial wash

 

दाग धब्बे और कील मुँहासे की दवा – Medicine For Pimples On Face in Hindi

 

1. Panderm + Cream

1. Panderm cream skin ke bacterial aur fungal infection ko khatam kar ke tvacha ko saaf aur chamakdar banati hai. Ye cream fode funsi, tvacha ke daag dhabbo, sujan aur skin ke infection ko kam karne me kafi upyogi hai.

2. Is cream ke fayde dekhte hue bahut se log ise ek beauty cream ki tarah isteemal karne lage hai jis karan unhe side effect hone lagte hai, par is cream ko lgane se pahle ek baat ka dhyan rakhna bahut jaruri hai ki ye fairness cream nahi hai ye ek tarah ki kil muhase ki dawa (medicine) hai.

3. Ek limited time period tak hi is cream ka pryog karne ki salah di jati hai. Lambe samay tak iske paryog se tvacha ko nuksan ho sakta hai jese ki tvacha laal hona, dark spots padna. Isliye bina doctor ki salah ke panderm+ cream ka paryog nahi karna chahiye.

 

2. Skinlite Cream

  • Ye bhi ek parkar ki dawa hai jiska istemal tvacha ke daag dhabbe hatane, pimples dur karne, burn marks saaf karne aur stretchmarks mitane me kiya jata hai.
  • Bina kisi skin specialist ki salah ke skinlite cream ka istemal nahi karna chahiye aur agar koi skin allergy ho to uske bare me bhi btana chahiye.

 

3. Benzoyl Peroxide

1. Benzoyl peroxide ek acne pimple treatment cream hai. Agar aapke chehre par thode pimple hai to 2 se 3 din ke paryog se hi aapko farak dikhne lagega aur agar pimple jada hai to samay adhik lag sakta hai.

2. Agar aapki skin sensitive hai to face par ise lgane se pahle hath par ise lga kar check kare aur koi allergy naa hone par hi chehre par lagaye. Is cream ke istemal se halki dryness aa sakti hai.

3. Raat ko sone se pahle is cream ka paryog kare aur pimples thik hone ke baad is cream ka pryog band kar de.

 

4. Vitamin E Capsules

  • Healthy skin pane aur skin se judi problems ke ilaj ke liye vitamin E bahut jaruri hai. Skin care ke sath sath ye hairs ke liye bhi faydemand hai.
  • Vitamin E ke capsule aapko kisi bhi medical store par mil sakte hai. Ise paryog karna bahut aasan hai. Har roj 1 capsule khana hai aur 1 capsule ko khol kar uska oil chehre par lagana hai.
  • Is dawa ki 1 drop har roj apne hoto par lgaye, isse lips sundar aur mulayam hone lagenge. Dark circles dur karne ke liye bhi iska istemal kiya ja sakta hai.
  • Badam rogan tel ke sath iska oil mix kar ke chehre par massage kare par iske paryog se pahle face acche se clean kar le aur raat ko sone se pahle ye upay kare.
  • Upar btayi gyi cream ke istemal karne ke baad agar aapko kisi tarah ki skin allergy dikhe to turant iska istemal band kare aur doctor se salah le.

 

Dosto Pimple hatane ki cream name, dawa aur face wash in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass keel muhase aur chehre ke daag dhabbe hatane ke liye best cream aur gharelu upay se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

The post चेहरे के दाग और पिम्पल हटाने की क्रीम – Pimple Ki Best Cream in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.

रोग प्रतिरोधक क्षमता बढ़ाने के आसान उपाय – Immunity Badhane Ke Upay

$
0
0

Immunity badhane ke gharelu upay aur nuskhe in hindi: Aksar kuch log bahut jaldi bimar pad jate hai khaskar mausam badalne par ve jaldi hi infection aur mausami bimariyo ki chapet me aa jaate hai, iska sabse bada karan hai sharir ki rog pratirodhak chamta kamjor hona. Body ka immune system strong na ho to sharir rogo se ladne ki takat kho deta hai aur hum bahut jaldi bimar ho jate hai. Bacho ki immunity bado ke mukable jada strong nahi hoti. Kuch log rog pratirodhak chamta badhane ki dawa se is samasya ka ilaj karte hai par hum immunity badhane ke liye gharelu nuskhe aur upay se aasani se ghar par ilaj kar sakte hai. Aaj is lekh me hum janenge body immunity kaise badhaye aur kya food khaye, ayurveda treatment and home remedy for body immunity increase in hndi.

Hawa me kai parkar ke virus aur bacteria maujood hote hai jo saans lene par hamare sharir me pahunch jaate hai par hamara immune system inhe khatam kar ke hame rogo se bachata hai, par jab immunity weak ho jati hai tab ye virus sharir me badhne lagte hai. Sardi jukham khasi aur bukhar hona iski ek pehchan hai.

इम्युनिटी बढ़ाने के उपाय, Immunity badhane ke gharelu upay in hindi

 

Body Immunity Weak Hone Ka Karan

  • Dard nivarak dawao ka adhik sevan karna.
  • Bahut jada tension me rehna.
  • Sharir ki saaf safai ka dhyan na rakhna.
  • Khane peene ki galat aadte hona.
  • Puri neend naa lena.
  • Smoking aur sharab ka jada sevan karna.
  • Body ko jaruri poshan na milna.
  • Vajan bahut jada ya bahut kam hona.

 

इम्युनिटी बढ़ाने के लिए घरेलू उपाय और नुस्खे

Immunity Badhane Ke Gharelu Upay Aur Nuskhe

 

1. Green tea aur black tea immune system ke liye ye dono hi faydemand hai. Har roj inke 1 se 2 cup peena aapki immunity ke liye ramban ilaj ho sakta hai. Dhyan rahe iske jada sevan se nuksan bhi ho sakta hai.

2. Kacha lehsun rog pratirodhak chamta badhane ke upay me gharelu dawa ka kaam karta hai. Isme vitamin A, E, jink aur sulfar hota hai jo immune system boost karne me upyogi hai.

3. Body ko infection se bachane ke liye vitamin C bahut faydemand hai. Aawle, aur nimbu me vitamin C bharpur matra me hota hai.

4. Ayurveda me rog pratirodhak chamta bdhane ke liye ashwgandha, shilajeet, shatavri, tulsi, mulethi, haldi aur giloy ka pryog kiya jata hai jo ayurvedic dawa ki tarah kaam karte hai.

5. Yoga aur exercise sharir ko swasth rakhne aur rogo se ladne ki shakti bdhane me kaafi mdadgar hai. Iske sath sath ye body ko detox karne ka kaam bhi karte hai.

6. Motapa jada hona ya fir weight kam hona bhi kamjor immunity ka ek karan hai. Isliye weight ka control me rakhna bahut jaruri hai.

7. Vitamin D se body ko rogo se ladne ki takat milti hai aur sath hi ye haddiya majbut karne, dil ke rogo ko dur rakhne me bhi asardar hai.

 

इम्युनिटी बढ़ाने के लिए क्या खाये – Immunity Badhane Wale Food

  • Dahi khane se immunity power badhti hai. Iske ilava ye pachan shakti ko thik karne me bhi achuk hai.
  • Falo me santra, ananas aur khatte fal me vitamin C hota hai jo body me acche cholesterol ko bdhata hai aur blood pressure ko bhi control karne me mdad karta hai.
  • Hari pattedar sabji me palak ko sabse acha food mana gya hai. Palak me folic acid hota hai jo body me naye cell banane aur purane cells thik karne ka kaam karta hai. Iske ilava isme iron, fiber, vitamin C aur antioxidant hote hai jo sharir ko swasth bnate hai.
  • Dry fruit me vitamin A bharpur matra me hota hai jo immunity increase karne ke liye jaruri poshak tatav hai. Iske sath sath inme iron, fiber, jinc aur minerals bhi hote hai.
  • Badam me vitamin E adhik hota hai jo tvacha ko swasth banane me mdadgar hai, iske ilava isse dimag ko tanav se ladne ki shakti milti hai. Har roj 8 se 10 badam khane se sharir ki rog pratirodhak shamta bhi badhti hai.
  • Immunity boost karne me mashroom khana bhi faydemand hai.
  • Broccoli me vitamin A aur C paya jata hai, ye immune system ko majbut karne wala food hai. Iske sevan se body ko calcium aur protein bhi milta hai.

 

बच्चों में रोग प्रतिरोधक क्षमता बढ़ाने के उपाय – Bacho Ki Immunity Kaise Badhaye

  • Maa ka doodh immunity majbut karne me achuk hai, jo chote baccho ko infection, allergy, dast, bukhar se bachata hai.
  • Baccho ko aahar me hari sabjiya khilaye. Hari sabjiyo me vitamin A, C, E aur jaruri poshak tatv hote hai jo immunity boost karne me upyogi hai.
  • Puri neend naa milne par bhi rog pratirodhak shamta kamjor hone lagti hai. Baccho ka immune system majbut ho iske liye unhe 10 se 12 ghante ki neend chahiye.
  • Bacche ko koi bhi antibiotic medicine dene se pahle doctor ki salah jarur le aur dard nivarak dawa ka paryog bhi kam se kam kare.
  • Bidi cigarette ke dhue se baccho ko dur rakhna chahiye. Isse rog partirodhak shakti kamjor hoti hai.

 

Dosto Immunity badhane ke gharelu upay, Rog pratirodhak chamta kaise badhaye in hindi ka ye lekh kais alga hame btaye aur agar aapke pass body immunity badhane ke liye kya kare gharelu nuskhe ilaj aur dawa ke sujhav hai to hamare sath share kare.

The post रोग प्रतिरोधक क्षमता बढ़ाने के आसान उपाय – Immunity Badhane Ke Upay appeared first on Kya Kyu Kaise.

दांतों में ठंडा गरम लगने के आसान उपाय – Sensitive Danto Ka ilaj

$
0
0

Danto me thanda lagne ke upay aur ilaj in hindi: Aksar kuch logo ka kehna hota hai ki ve jab bhi kuch thanda ya garam khate hai to unke danto me jhanjhanahat aur dard hone lagta hai. Hamare teeths par ek coating hoti hai jise enamel kehte hai, danto ki dekhbhal naa karne, keeda lagne, cavity ke karan enamel coating ghis jati hai jis karan hamare dant jada sensitive ho jate hai jis wajah se kuch bhi thanda garam khane se danto me dard mehsus hone lagta hai. Kuch logo ko to pani peene se bhi danto me tej jhanjhanahat hone lagti hai. Kuch log teeth me thanda garam lagne par iske ilaj ke liye dawa lete hai par hum bina medicine ke gharelu upay aur nuskhe se sensitive danto ka ilaj kar sakte hai. Aaiye jane dant me pani lagne ka upay kaise kare, natural home remedies for sensitive teeth pain treatment in hindi.

Aajkal khane peene ki chijo me hone wali milawat ka asar hamari sehat par to padta hi hain sath hi isse hamari haddiya aur dant bhi kamjor hone lagte hai. Iske ilava hamare khane pine ki buri aadte bhi danto ki kamjori ka ek karan hai. Dant me dard hone par dawa aur ilaj se ise thik kiya ja sakta hai par agar teeth me thanda aur garam lagne ki samasya ho to kuch bhi khana peena bhi mushkil ho jata hai aur lambe samay tak ye pareshani dur nahi hoti.

दांतों में ठंडा गरम लगने के उपाय, Teeth me thanda lagna in hindi

 

Teeth Me Thanda Garam Lagne Ka Karan

  • Danto ki enamel coating hat jana.
  • Jada sakht toothbrush ka istemal karna.
  • Tambacoo aur gutkha jada khane se bhi dant sensitive hote hai.
  • Payriya ki wajah se dant masudo se hatne lagte hai aur senstivity ki problem hoti hai.
  • Khane peene me acidic food ka jada sevan karne se dant galne lagte hai.
  • Dant ka kuch hissa toot jane par bhi thanda garam lagne ki samasya hoti hai.

 

दांतों में ठंडा गरम लगने के उपाय और इलाज

Danto Me Thanda Lagne Ke Upay in Hindi

 

1. Sensitive danto ka ilaj gharelu tarike se karne ke liye halke garam pani me 2 chammach namak mila kar din me 2 bar kulla kare.

2. Dant me dard ho rha ho, cavity, keeda lagna, payriya ya danto ki koi aur samasya ho ye upay ramban ka kaam karta hai. Sarso ke tel me sendha namak mila kar danto aur masudo ki malish kare aur 5 minute baad kulla kare.

3. Khane peene ki aesi bahut si chije hai jinse danto me dard aur jhanjhanahat hone lagti hai, jese ki cold drinks, khatti chije, chai, coffee, thanda pani aur meetha. Inka sevan karne se bache.

4. Dant me pani lagne ki samasya ke upchar me kale til bhi faydemand hai. Iske liye subah sham 1-1 chammach kale til chbaye.

5. 1 chammach nariyal ka tel, 1 chammach sarso ka tel aur 1 chammach til ka tel mila kar isse danto aur masudo ki malish kare. Din me 2 bar ye upay karne par danto me thanda garam lagne ki samasya dur hone lagegi.

6. Jada thanda aur garam khane se bache, iske ilava chini aur chini se bani chijo ka sevan bhi kam se kam kare.

 

दांतों में झनझनाहट से बचने के उपाय – Danto Me Jhanjhanahat Se Bachne Ke Upay

  • Sensitive danto ke liye bajar me kai parkar ke sensitive toothpaste milte hai jo thanda garam lagne ke ilaj me upyogi hai.
  • Soft tooth brush ka istemal kare isse danto aur masudo par jada jor nahi padega. Sath hi hamesha halke hatho se brush kare.
  • Agar aapke dant thande aur garam ke liye adhik sensitive hai to koi bhi mouth wash aur toothpaste ka pryog karne se pahle ek bar doctor ki salah jarur le.
  • Teeth me thanda lagne ki samasya hone par munh ki saaf safai ka khas dhyan rakhe aur din me 2 bar brush kare.
  • Khana khane ke baad garam pani se kulla karna chahiye.

 

Dosto Danto me thanda lagne ke upay, Sensitive danto (teeth) ka ilaj in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass jhanjhanahat aur dant me pani lagne ka home treatment ke liye gharelu nuskhe se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

The post दांतों में ठंडा गरम लगने के आसान उपाय – Sensitive Danto Ka ilaj appeared first on Kya Kyu Kaise.

बाल लंबे करने का बेस्ट तेल और शैम्पू – Balo Ke Liye Tel Aur Shampoo

$
0
0

Baal lambe karne ka tel aur shampoo ka naam in hindi: Balo ko jhadne se rokne aur baal lambe ghane karne ke liye aksar hum kai tarike apnate hai jese shampoo karna, hair oil lagana, dawa aur upay. Aajkal bajar me kai parkar ke shampoo aur balo ke tel mil jate hai par hum ye nhi jaan pate ki kon sa tel sabse acha hai. Vese to balo ko lamba aur ghana karne ke liye gharelu nuskhe kafi kargar hai par agar iske sath sath agar acha shampoo aur tel bhi istemal kiya jaye to balo ki samasya ka ilaj jaldi kiya ja sakta hai. Aaj is lekh me hum janenge baal badhane wala tel aur shampoo kon sa hai, best oil and shampoo name for long hair in hindi.

बाल लंबे करने का तेल और शैम्पू, Baal lambe karne ka tel in hindi

 

बालों को शैम्पू कब करे – Balo Ko Shampoo Kab Karna Chahiye

  • Aksar kuch logo ka ek sawal hota hai ki kya har roj balo ko dhona sahi hai aur kya hum har roj balo ko shampoo kar sakte hai.
  • Shampoo ke jada istemal se balo ki natural shine khone lagti hai isliye ho sake to hafte me 2 se 3 bar se upar shampoo na lagaye.
  • Shampoo ke pack ke upar bhi use pryog karne ka tarika btaya jata hai aur ye bhi likha hota hai ki use hafte me kitne bar lagana chahiye.
  • Balo ki malish karne se balo ko poshan milta hai jisse ve lambe ghane aur sundar hote hai, isliye hafte me kam se kam 1 bar balo ki malish karna bhi acha upay hai.

 

बाल लंबे और घना करने का तेल

Baal Lambe Karne Ka Tel in Hindi

 

1. Balo ke liye tel me sabse pahla naam hai nariyal tel. Rukhe aur bejan balo ke ilaj ke liye nariyal ka tel kaafi acha hai. Is tel ke niyamit pryog se balo ka jhadna band hota hai aur baal chamakdar bante hai.

2. Lambe aur ghane baal pane ke liye sarso ka tel paryog kare. Is gharelu tel me omega 3 aur 6 hota hai aur isse balo ki massage karne par baal majbut aur lambe hote hai.

3. Hairs aur skin ke liye til ka tel bhi kaafi acha hai. Is oil me viamin A, B aur protein hota hai jo sabhi tarah ki hairs problem dur karne me upyogi hai. Raat ko sone se pahle til ka tel sir par lagaye aur subh dho le.

4. Jaitun ke tel (olive oil) se balo ki malish karne par balo ka jhadna kam hota hai aur teji se baal bdhane me mdad milti hai.

5. Baal badhane wala tel ka naam me ek naam hai badam ka tel. Isme vitamin A, D aur minerals hote hai jo baal jhadna bhi rokta hai aur baal lambe karne me bhi fayda karta hai. Ye hair oil naye baal ugane me bhi upyogi hai.

 

बालों के लिए सबसे अच्छा शैम्पू – Balo ke liye achha shampoo

  • Baba ramdev patanjali kesh kanti shampoo ayurvedic jadi buti se bana hai. Ye hair fall problem, dandruff dur karne me kafi upyogi hai. Is shampoo me kuch aese natural tatv bhi hai jo baal bdhane ke liye karagar hai.
  • Vaadi herbal amla shikakai shampoo me amla, reetha aur shikakai hote hai jo balo ko majbuti dete hai, jhadna kam karte hai aur baal lambe karne me bhi mdad karte hai.
  • Aloe vera herbal conditioning shampoo balo ko mulayam, majbut, lambe aur ghane banane me kargar hai. Aloe vera balo ko conditioning kar ke chamkdar bhi bnata hai.
  • Rukhe balo ke liye aesa shampoo pryog karna chahiye jisme nami ho taki balo me nami bani rahe par jinke baal oily hai vo moisturizer aur conditioner se dur hi rahe.
  • Shampoo ke pack par kai instructions di hoti hai unhe jarur padhe aur shampoo karne ke baad thande paani se hair wash kare, garam paani istemal naa kare.
  • Har shampoo ke gun aur fayde alag alag hote hai isliye apne balo ke hisab se hi shampoo pryog karna chahiye. Iske liye aap shampoo pack par lage label ko dhyan se padhe us par likha hota hai ki kis type ke balo par use lgana chahiye.

 

Dosto Baal lambe karne ka tel aur shampoo, Best hair oil for long hair in hindi ka ye lekh kaisa laga hame btaye aur agar aapke pass baal badhane wala tel aur ke liye sabse accha shampoo konsa hai isse jude sujhav hai to hamare sath share kare.

The post बाल लंबे करने का बेस्ट तेल और शैम्पू – Balo Ke Liye Tel Aur Shampoo appeared first on Kya Kyu Kaise.

चेहरे और बालों के लिए मुल्तानी मिट्टी के फायदे – Multani Mitti in Hindi

$
0
0

Face aur balo ke liye multani mitti ke fayde in hindi: Pimples aur kil muhase ka ilaj karne, face par glow lane aur sundar baal pane ke liye multani mitti ka face pack lagana sabse aasan aur acha upay hai. Skin oily ho ya dry har tarah ki skin par iska paryog kar sakte hai. Ye tvacha par jama gandagi ko saaf kar ke tvacha chamakdar karta hai. Chehre ke sath sath rukhe hairs ke liye bhi iska upyog kiya jata hai. Bahut se logo ka sawal hota hai ki chehre aur balo par multani mitti kaise lagate hai aur ye mitti kaha milti hai. Aaj is lekh me hum multani mitti lagane ka tarika aur iske fayde janenge, multani mitti benefits for face and hair in hindi.

मुल्तानी मिट्टी फेस पैक, Multani mitti ke fayde in hindi

 

मुल्तानी मिट्टी के फायदे और लगाने का तरीका

Multani Mitti Ke Fayde Face Ke Liye Hindi Me

 

1. Oily skin ke liye multani mitti sabse jada upyogi hai. Gulab jal, multani mitti aur nimbu ka ras mila kar iska face pack apne chehre par lagaye aur 30 minute baad face wash kare. Is upay se tvacha me jama tel bahar nikalta hai.

2. Dry skin ka face mask banane ke liye multani mitti, badam face pack aur doodh mila kar tvacha par lagaye aur 20 minute baad chehre ko saaf kare. Is upay se tvacha naram aur mulayam hone lagti hai.

3. Chehre par nikhar aur chamak lane ke liye multani mitti me shahad aur gulab jal mila kar ek gadha paste bana kar face par lagaye aur 30 minute baad wash kar le.

4. Sawali tvacha ke liye gajar ka gudda, jaitun ka tel aur multani mitti ka paste bana kar face par lagaye aur 30 minute baad saaf kare.

5. Chehre ke daag dhabbe hatane ke liye gulab jal, neem aur multani mitti se face pack banaye. Jo log muhase aur daag wali tvacha se pareshan rehte hai unke liye ye upay kafi upyogi hai.

6. Tvacha ki rangat ko thik karne ke liye vitamin E ke 2 capsule, multani mitti aur papite ke chilke ka paste banaye. Is mask ko 20 minute tak chehre par lagane ke baad saaf kar le.

7. Tamatar ka gudda, dahi, multani mitti aur khire ka ras mila kar iska paste 20 minute ke liye face par lagaye. Is gharelu nuskhe se chehra saaf hota hai aur tvacha chamakdar hoti hai.

8. Chandan powder aadha chammach, chutki bhar haldi powder aur 2 chammach multani mitti le, agar aapki skin oily hai to isme paani ya nimbu ka ras milaye aur agar skin dry hai to doodh mila kar paste banaye. Chandan chehre se muhase ke nishan saaf karne me mdad karta hai. Is face pack se tvacha se daag saaf hone lagte hai.

9. Pudine ke patte pees kar iske paste me dahi aur multani mitti mila kar lagane se chehre ke daag dhabbe dur hote hai.

10. Chehre ki jhuriya saaf karne ke liye 1 bada chammach multani mitti, dahi aur 1 anda fod kar iska paste face par lagaye aur 20 minute baad gungune pani se dho le.

 

बालों के लिए मुल्तानी मिट्टी के फायदे – Multani Mitti Benefits For Hair in Hindi

  • Do muhe balo ke ilaj ke liye raat ko balo par tel lagaye aur agli subah multani mitti me dahi mila kar iska paste balo ki jado se le kar end tak lagaye. Jab ye paste sukh jaye tab thande paani se baal dho le.
  • Baal rukhe ho to aadha cup dahi, 3 se 4 chammach multai mitti, 2 chammach shahad aur aadha cup nimbu mila kar balo par lagaye aur 20 minute ke baad baal dho le.
  • Oily hairs ke liye multani mitti ko 4 ghante tak paani me bhigo kar rakhe fir isme me reetha powder milaye aur 30 minute ke baad balo par lagaye. Is paste ko 10 minute tak balo pe laga rehne de fir thande paani se dho le.
  • Baal sidhe karne me bhi multani mitti ka upyog kar sakte hai. 5 chammach chawal ka aata, 1 cup multani mitti aur 1 anda mila kar balo par lagaye fir kanghi se baal sidha kare. Jab ye pack sukh jaye to baal dho kar shampoo kare aur fir conditioner se baal dho kar sukha le.
  • Multani mitti kaha milti hai agar aapke man me bhi ye sawal hai to aap baba ramdev patanjali ke store se le sakte hai.

 

Dosto multani mitti ke fayde face aur balo ke liye in hindi ka ye lekh kaisa laga hame btaye aur agar aapke pass multani mitti ke benefits aur lagane ka tarika se jude koi sujhav hai to hamare sath share kare.

The post चेहरे और बालों के लिए मुल्तानी मिट्टी के फायदे – Multani Mitti in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.

Viewing all 267 articles
Browse latest View live