Periods jaldi aane ki tablet name (medicine) aur upay in hindi: Sahi samay par period naa aane se mahilao ko kai problems hone lagti hai. Period miss hona ya khul kar na aane ki samasya ke ilaj ke liye kuch mahilaye dawa ka sahara leti hai to kuch gharelu nuskhe apnati hai. Iske ilava kai bar kuch karan aese bhi hote hai jinke karan jaldi periods aane wali tablet ya upay karne padte hai jese shadi, varat ya koi tyohar ka mc hone ke time par hona. Agar kuch khas moko par mahila ko mahwari aa jaye to dard aur bleeding ki wajah se mahila asahaj mehsus karne lagti hai, jisse bachne ke liye vo kuch din pahle period lane ki goli ya upay kar leti hai taki baad me koi pareshani na ho. Aaj is lekh me hum jaldi periods aane wali tablet treatment ka naam aur nuskhe janenge, period medicine name in hindi.
पीरियड्स लाने की दवा किसे नहीं लेनी चाहिए – MC Hone Wali Medicine Kise Nahi Leni Chahiye
- Liver se judi koi bimari hone par periods lane ki dawa ka paryog na kare.
- Jo mahilaye breast cancer se pidit hai unhe in medicines ke sevan se bachna chahiye.
- Pregnancy ke dauran mc hone ki goli ka sevan na kare.
- Agar aapko periods hone ke ilava bhi bleeding ki shikayat hoti hai to bhi aesi dawao ke sevan se dur rahe.
- Jin mahilao ko dil ke rog hai unke liye bhi ye tablets lena thik nahi.
- Kisi bhi parkar ke side effect se bachne ke liye jaruri hai periods ki medicine lene se pahle doctor se salah le.
पीरियड्स आने की मेडिसिन और टेबलेट का नाम
Periods Jaldi Aane Ki Tablet Name in Hindi
1. Periods jaldi lane ki dawa me sabse pahla naam hai Primolut-N, is medicine ki 5mg tablet ka paryog periods lane ke liye kiya jata hai.
2. Primolut-N ke istemal se pahle mahila ko apni mc ki date pta honi chahiye. Is tablet ka paryog period lane ke lagbhag 10 din pahle shuru kare.
3. Is dawa ki 1-1 goli 5 din tak le. Ye dawa khatam hone ke 1 se 2 din ke andar period aane lagege.
4. Progesterone tablet periods aane ki medicine se treatment me dusra parmukh naam hai jo mc jaldi aane ke li paryog ki jati hai. Iske ilava irregular periods ke liye bhi iska istemal hota hai.
5. Is tablet ko 2 din tak lene par mc aane lagegi. Iske sevan ke 48 se 72 ghante me period shuru ho jayege.
6. Period sahi samay par nahi aane ki samasya ko is dawa se thik kiya ja sakta hai. Provera tablet period time par lane me mdad karti hai. Is tablet ko paryog periods jaldi lane me nhi kiya jata.
7. Vese kabhi kabhi in tablets ke sevan se side effect hone ki sambhavna kam hi hoti hai.
8. Jada jarurat hone par hi in dawao ka paryog karna chahiye aur ho sake to doctor se salah karne ke baad hi inka sevan kare.
माहवारी जल्दी आने के घरेलू उपाय – Period Aane Ke Gharelu Upay in Hindi
- Jaldi periods aane ke liye aloe vera juice ya kacche papite ke juice ka upyog kare. Papita khane se bhi isme fayda milta hai.
- Chakundar aur gajar ka ras brabar matra me mila kar pine se mc jaldi aane lagti hai.
- Ek cup pyaj ke soup me thoda gud mila kar iska sevan kare. Is gharelu nuskhe se bhi periods jaldi lane me mdad milti hai.
- Karele ke juice me thodi chini mila kar peene se date jaldi aa jati hai.
- Vitamin C ka adhik sevan karne se bhi fayda milta hai. MC aane ke liye vitamin C wale fal aur sabjiya adhik khaye.
- Irregular periods hone ki samasya ka smadhan karna hai to angur ke ras ka sevan karna chahiye.
- Period jaldi lane me garam paani ka pack paryog karna bhi acha upay hai. Iske liye har roj 10-15 minute tak hot water pack pet ke nichle hisse par rakhe.
- 2 chammach saunf raat ko paani me bhigo kar rakh de aur subh chaan kar paani pi le. Is nuskhe se 2-3 dino me period aane lagege.
- Adarak ki chai peene se bhi mc ki date ko jaldi kiya ja sakta hai. Chai bnane me nimbu tulsi ke patte aur shahad bhi mila sakte hai.
- Raat ko sone se pahle methi ke beej paani me bhigo kar rakhe aur subh ise chaan kar paani pi le. Is home remedy se bhi period jaldi aa sakte hai.
पीरियड लाने की दवा के नुकसान – Periods Ki Medicine Ke Side Effect
- In medicine ka sevan adhik karne se irregular period problem ho sakti hai.
- Pet me halka dard hona, kamar me tej dard hona.
- Sir me dard hona, migraine ka dard hona aur breast problem ho sakti hai.
- Chakkar aana, ji machlna, ulti hona aur jaldi thakan aana.
- Bhukh na lagna ya fir bhukh kam lagna.
- MC ki bleeding me badlav aana.
- Chehre par muhase nikalna, neend na aana.
Dosto periods jaldi aane ki tablet ka naam aur upay in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass period lane ki dawa goli aur gharelu nuskhe se jude sujhav hai to hamare sath share kare.
The post पीरियड्स जल्दी आने की दवा और उपाय – Periods Aane Ki Tablet in Hindi appeared first on Kya Kyu Kaise.